Sher
"jaam le kar mujh se vo kahta hai apne munh ko pher ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmate hain ham"
G
Ghamgeen Dehlvi"haath se mere vo piita nahin muddat se sharab yaaro kya apni khushi main ne pilana chhoDa"
ہاتھ سے میرے وہ پیتا نہیں مدت سے شراب یارو کیا اپنی خوشی میں نے پلانا چھوڑا
हाथ से मेरे वो पीता नहीं मुद्दत से शराब यारो क्या अपनी ख़ुशी मैं ने पिलाना छोड़ा
"jaam le kar mujh se vo kahta hai apne munh ko pher ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmate hain ham"
"vo lutf uTha.ega safar ka ap-apne men jo safar karega"
"mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se na ikhtiyar hai us ka na mera chara hai"
"meri ye aarzu hai vaqt-e-marg us ki avaz kaan men aave"
"kiya badnam ik aalam ne 'ghamgin' pak-bazi men jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota"
"koi samjhao unhen bahr-e-khuda ai momino us sanam ke ishq men jo mujh ko samjhate hain log"