Sher
"jaam le kar mujh se vo kahta hai apne munh ko pher ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmate hain ham"
G
Ghamgeen Dehlvi"koi samjhao unhen bahr-e-khuda ai momino us sanam ke ishq men jo mujh ko samjhate hain log"
کوئی سمجھاؤ انہیں بہر خدا اے مومنو اس صنم کے عشق میں جو مجھ کو سمجھاتے ہیں لوگ
कोई समझाओ उन्हें बहर-ए-ख़ुदा ऐ मोमिनो उस सनम के इश्क़ में जो मुझ को समझाते हैं लोग
"jaam le kar mujh se vo kahta hai apne munh ko pher ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmate hain ham"
"vo lutf uTha.ega safar ka ap-apne men jo safar karega"
"mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se na ikhtiyar hai us ka na mera chara hai"
"meri ye aarzu hai vaqt-e-marg us ki avaz kaan men aave"
"haath se mere vo piita nahin muddat se sharab yaaro kya apni khushi main ne pilana chhoDa"
"kiya badnam ik aalam ne 'ghamgin' pak-bazi men jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota"