Sher
"safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho bahar ban ke koi ab to ham-safar aa.e"
"baghair samt ke chalna bhi kaam aa hi gaya fasil-e-shahr ke bahar bhi ek duniya thi"
بغیر سمت کے چلنا بھی کام آ ہی گیا فصیل شہر کے باہر بھی ایک دنیا تھی
बग़ैर सम्त के चलना भी काम आ ही गया फ़सील-ए-शहर के बाहर भी एक दुनिया थी

"safar ka rang hasin qurbaton ka hamil ho bahar ban ke koi ab to ham-safar aa.e"
"kin shahidon ke lahu ke ye farozan hain charagh raushni si jo hai zindan ke har ik rauzan men"
"ek parchha.in tasavvur ki mire saath rahe main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aa.e"
"kaise rishte kaise naate jhuTe saare bandhan hain chahat jaane qaid hai kab se nafrat ke tah-khanon men"
"kya baat hai kyuun shahr men ab ji nahin lagta halanki yahan apne para.e bhi vahi hain"
"'gulnar' maslahat ki zaban men na baat kar vo zahr pi ke dekh jo sachcha.iyon men hai"