Sher
"zindagi ki baat sun kar kya kahen ik tamanna thi taqaza ban ga.i"
"ham bhi hain kisi kahf ke as.hab ke manind aisa na ho jab aankh khule vaqt guzar jaa.e"
ہم بھی ہیں کسی کہف کے اصحاب کے مانند ایسا نہ ہو جب آنکھ کھلے وقت گزر جائے
हम भी हैं किसी कहफ़ के असहाब के मानिंद ऐसा न हो जब आँख खुले वक़्त गुज़र जाए

"zindagi ki baat sun kar kya kahen ik tamanna thi taqaza ban ga.i"
"apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh men tha"
"main kuchh na kahun aur ye chahun ki miri baat khushbu ki tarah uD ke tire dil men utar jaa.e"
"tujh se vafa na ki to kisi se vafa na ki kis tarah intiqam liya apne aap se"
"phir miri aas baDha kar mujhe mayus na kar hasil-e-gham ko khuda-ra gham-e-hasil na bana"
"daman ko chaak kijiye is ehtiyat se ahl-e-jahan ko zakhm-e-jigar ka guman na ho"