Sher
"bachche khuli faza men kahan tak nikal ga.e ham log ab bhi qaid isi bam-o-dar men hain"
"miTTi men kitne phuul paDe sukhte rahe rangin pattharon se bahalta raha huun main"
مٹی میں کتنے پھول پڑے سوکھتے رہے رنگین پتھروں سے بہلتا رہا ہوں میں
मिट्टी में कितने फूल पड़े सूखते रहे रंगीन पत्थरों से बहलता रहा हूँ मैं

"bachche khuli faza men kahan tak nikal ga.e ham log ab bhi qaid isi bam-o-dar men hain"
"khuda badal na saka aadmi ko aaj bhi 'hosh' aur ab tak aadmi ne saikDon khuda badle"
"kho ga.i ja ke nazar yuun rukh-e-raushan ke qarib jaise kho jaati hai beva koi dulhan ke qarib"
"jaane kis kis ka gala kaTta pas-e-parda-e-ishq khul ga.e meri shahadat men sitamgar kitne"
"kya sitam karte hain miTTi ke khilaune vaale raam ko rakkhe hue baiThe hain ravan ke qarib"
"divar un ke ghar ki miri dhuup le ga.i ye baat bhulne men zamana laga mujhe"