Sher
"tajalli be-naqab aur kor ankhen kya qayamat hai ki suraj samne hai aur siyah-bakhti nahin jaati"
"aag paani se bhaap uThti rahi ham samajhte rahe mohabbat hai"
آگ پانی سے بھاپ اٹھتی رہی ہم سمجھتے رہے محبت ہے
आग पानी से भाप उठती रही हम समझते रहे मोहब्बत है

"tajalli be-naqab aur kor ankhen kya qayamat hai ki suraj samne hai aur siyah-bakhti nahin jaati"
"afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn ham ko khizan ne tum ko sanvara bahar ne"
"hazar aarzu ho tum yaqin ho tum guman ho tum qafas-nasib ruuh ki umid-e-ashiyan ho tum"
"mire saz-e-nafas ki khamushi par ruuh kahti hai na aa.i mujh ko niind aur so gaya afsana-khvan mera"
"dil ki dhaDkan jo hai madar-e-hayat ik zara tez ho to aafat hai"
"khirad ko khana-e-dil ka nigah-ban kar diya ham ne ye ghar abad hota is ko viran kar diya ham ne"