Sher
"furqat-e-yar men insan huun main ya ki sahab har baras aa ke rula jaati hai barsat mujhe"
"karti hai mujhe qatl mire yaar ki talvar talvar ki talvar hai raftar ki raftar"
کرتی ہے مجھے قتل مرے یار کی تلوار تلوار کی تلوار ہے رفتار کی رفتار
करती है मुझे क़त्ल मिरे यार की तलवार तलवार की तलवार है रफ़्तार की रफ़्तार

"furqat-e-yar men insan huun main ya ki sahab har baras aa ke rula jaati hai barsat mujhe"
"khvab hi men nazar aa jaa.e shab-e-hijr kahin so mujhe hasrat-e-didar ne sone na diya"
"vo nazar aata hai mujh ko main nazar aata nahin khuub karta huun andhere men nazare raat ko"
"kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj surkh mai se saqiya dastar rang"
"aati jaati hai ja-ba-ja badli saqiya jald aa hava badli"
"jis qadar ham se tum hue nazdik us qadar duur kar diya ham ko"