Sher
"qaazi ko jo rind kuchh chaTa den masjid ki baghal men mai-kada ho"
I
Imdad Ali Bahr"mukhtar hain vo likkhen na likkhen javab-e-khat sahab ko roz apna ariza report hai"
مختار ہیں وہ لکھیں نہ لکھیں جواب خط صاحب کو روز اپنا عریضہ رپورٹ ہے
मुख़्तार हैं वो लिक्खें न लिक्खें जवाब-ए-ख़त साहब को रोज़ अपना अरीज़ा रिपोर्ट है
"qaazi ko jo rind kuchh chaTa den masjid ki baghal men mai-kada ho"
"mire qatl par tum ne biiDa uThaya mire haath ka paan khaya to hota"
"kya hai mujhe dete ho gilauri chune men kahin na sankhiya ho"
"yaar tak le na ga.e ashk baha kar ham ko is ko bhi dekh liya dida-e-tar kuchh bhi nahin"
"ratb-o-yabis men hai tasarruf-e-ishq aankh dariya hai dil jazira hai"
"abr-e-bahar ab bhi jachta nahin nazar men kuchh ansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar men"