Sher
"taDap taDap ke tamanna men karvaTen badlin na paaya dil ne hamare qarar saari raat"
"khuda jaane 'asar' ko kya hua hai raha karta hai chup do do pahar tak"
خدا جانے اثرؔ کو کیا ہوا ہے رہا کرتا ہے چپ دو دو پہر تک
ख़ुदा जाने 'असर' को क्या हुआ है रहा करता है चुप दो दो पहर तक

"taDap taDap ke tamanna men karvaTen badlin na paaya dil ne hamare qarar saari raat"
"dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho main tumhari dosti men mehrban maara gaya"
"aa.ina dekh ke farmate hain kis ghazab ki hai javani meri"
"tumhare ashiqon men be-qarari kya hi phaili hai jidhar dekho jigar thame hue do-char baiThe hain"
"kuchh samajh kar us mah-e-khubi se ki thi dosti ye na samjhe the ki dushman asman ho ja.ega"
"dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh apne divane ka ahval tu zanjir se puchh"