Sher
"aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se ham"
"aur kya is se ziyada koi narmi bartun dil ke zakhmon ko chhua hai tire galon ki tarah"
اور کیا اس سے زیادہ کوئی نرمی برتوں دل کے زخموں کو چھوا ہے ترے گالوں کی طرح
और क्या इस से ज़ियादा कोई नर्मी बरतूँ दिल के ज़ख़्मों को छुआ है तिरे गालों की तरह

"aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se ham"
"ek bhi khvab na ho jin men vo ankhen kya hain ik na ik khvab to ankhon men basao yaaro"
"quvvat-e-tamir thi kaisi khas-o-khashak men andhiyan chalti rahin aur ashiyan banta gaya"
"guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah abhi to main use pahchan bhi na paaya tha"
"tamam umr azabon ka silsila to raha ye kam nahin hamen jiine ka hausla to raha"
"log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se teri ankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se"