Sher
"ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin"
"dil gaya raunaq-e-hayat ga.i gham gaya saari ka.enat ga.i"
دل گیا رونق حیات گئی غم گیا ساری کائنات گئی
दिल गया रौनक़-ए-हयात गई ग़म गया सारी काएनात गई

"ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin"
"dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main"
"un ka jo farz hai vo ahl-e-siyasat janen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche"
"apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya"
"teri ankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha"
"ye ishq nahin asan itna hi samajh liije ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai"