Sher
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
K
Kaleem Ahmadabadi"apna jiina ek dhoka apna marna ik fareb zindagi se zindagi ki tarjumani ho to kya"
اپنا جینا ایک دھوکا اپنا مرنا اک فریب زندگی سے زندگی کی ترجمانی ہو تو کیا
अपना जीना एक धोका अपना मरना इक फ़रेब ज़िंदगी से ज़िंदगी की तर्जुमानी हो तो क्या
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
"sard ho sakta nahin sargarm insan ka lahu hadisat-e-nau-ba-nau men zindagani ho to kya"
"kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar luun samne tu hai baghal men tiri tasvir bhi hai"
"dahr ki fazaon men kaun raqs karta hai kaun kar raha hai yuun aap apni rusva.i"
"gham natija hai khushi ki intiha ka ai 'kalim' dil ki ik ik mauj mauj-e-shadmani ho to kya"
"kahin giri to hai bijli zara nazar kiije kisi gharib ki palTi hui dua to nahin"