Sher
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
K
Kaleem Ahmadabadi"gham natija hai khushi ki intiha ka ai 'kalim' dil ki ik ik mauj mauj-e-shadmani ho to kya"
غم نتیجہ ہے خوشی کی انتہا کا اے کلیمؔ دل کی اک اک موج موج شادمانی ہو تو کیا
ग़म नतीजा है ख़ुशी की इंतिहा का ऐ 'कलीम' दिल की इक इक मौज मौज-ए-शादमानी हो तो क्या
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
"apna jiina ek dhoka apna marna ik fareb zindagi se zindagi ki tarjumani ho to kya"
"sard ho sakta nahin sargarm insan ka lahu hadisat-e-nau-ba-nau men zindagani ho to kya"
"kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar luun samne tu hai baghal men tiri tasvir bhi hai"
"dahr ki fazaon men kaun raqs karta hai kaun kar raha hai yuun aap apni rusva.i"
"kahin giri to hai bijli zara nazar kiije kisi gharib ki palTi hui dua to nahin"