Sher
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
K
Kaleem Ahmadabadi"kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar luun samne tu hai baghal men tiri tasvir bhi hai"
کس طرح عشق مجازی کو حقیقی کر لوں سامنے تو ہے بغل میں تری تصویر بھی ہے
किस तरह इश्क़-ए-मजाज़ी को हक़ीक़ी कर लूँ सामने तू है बग़ल में तिरी तस्वीर भी है
"fareb khaa.e na kyuun kar kisi ka saada dil zamana-saz nigahon se ashna to nahin"
"apna jiina ek dhoka apna marna ik fareb zindagi se zindagi ki tarjumani ho to kya"
"sard ho sakta nahin sargarm insan ka lahu hadisat-e-nau-ba-nau men zindagani ho to kya"
"dahr ki fazaon men kaun raqs karta hai kaun kar raha hai yuun aap apni rusva.i"
"gham natija hai khushi ki intiha ka ai 'kalim' dil ki ik ik mauj mauj-e-shadmani ho to kya"
"kahin giri to hai bijli zara nazar kiije kisi gharib ki palTi hui dua to nahin"