Sher
"haal mujh gham-zada ka jis jis ne jab suna hoga ro diya hoga"
"vahdat men teri harf dui ka na aa sake a.ina kya majal tujhe munh dikha sake"
وحدت میں تیری حرف دوئی کا نہ آ سکے آئینہ کیا مجال تجھے منہ دکھا سکے
वहदत में तेरी हर्फ़ दुई का न आ सके आईना क्या मजाल तुझे मुँह दिखा सके

"haal mujh gham-zada ka jis jis ne jab suna hoga ro diya hoga"
"nahin shikva mujhe kuchh bevafa.i ka tiri hargiz gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibha.i ho"
"aziyyat musibat malamat bala.en tire ishq men ham ne kya kya na dekha"
"hai ghalat gar guman men kuchh hai tujh siva bhi jahan men kuchh hai"
"jag men aa kar idhar udhar dekha tu hi aaya nazar jidhar dekha"
"ham tujh se kis havas ki falak justuju karen dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen"