Sher
"isi khatir to qatl-e-ashiqan se man.a karte the akele phir rahe ho yusuf-e-be-karvan ho kar"
"hai chashm nim-baz ajab khvab-e-naz hai fitna to so raha hai dar-e-fitna baaz hai"
ہے چشم نیم باز عجب خواب ناز ہے فتنہ تو سو رہا ہے در فتنہ باز ہے
है चश्म नीम-बाज़ अजब ख़्वाब-ए-नाज़ है फ़ित्ना तो सो रहा है दर-ए-फ़ित्ना बाज़ है

"isi khatir to qatl-e-ashiqan se man.a karte the akele phir rahe ho yusuf-e-be-karvan ho kar"
"hai saaya chandni aur chand mukhDa dupaTTa asman-e-asman hai"
"dekhna hasrat-e-didar ise kahte hain phir gaya munh tiri janib dam-e-murdan apna"
"ku-e-janan se jo uThta huun to so jaate hain paanv daf.atan ankhon se paanv men utar aati hai niind"
"aaya hai mire dil ka ghubar ansuon ke saath lo ab to hui malik-e-khushki-o-tari aankh"
"un ankhon men san.e.a ne bhare kuuT ke moti qismat ye hamari hai ki ashkon se bhari aankh"