Sher
"bahut parhez hai us ko mira bimar ho kar bhi kisi surat mujhe apni dava hone nahin deta"
"apne jalne ka hamesha se tamasha.i huun aag ye kis ne laga.i mujhe ma.alum nahin"
اپنے جلنے کا ہمیشہ سے تماشائی ہوں آگ یہ کس نے لگائی مجھے معلوم نہیں
अपने जलने का हमेशा से तमाशाई हूँ आग ये किस ने लगाई मुझे मालूम नहीं

"bahut parhez hai us ko mira bimar ho kar bhi kisi surat mujhe apni dava hone nahin deta"
"hamare munh pe us ne aa.ine se dhuup tak phenki abhi tak ham samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain"
"kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai sab mile to bhi sab nahin milta"
"asmanon men uDa karte hain phule phule halke logon ke baDe kaam hava karti hai"
"kam ma.arka-e-zist nahin jang-e-uhad se asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai"
"ishq men kuudo agar shauq hai marne ka bahut is se gahri koi khaa.i mujhe ma.alum nahin"