"kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai sab mile to bhi sab nahin milta"

Mohammad Aazam
Mohammad Aazam
Sherशेर
See all 18 →kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai
कुछ छलकता है कुछ बिखरता है
kam ma.arka-e-zist nahin jang-e-uhad se
कम मा'रका-ए-ज़ीस्त नहीं जंग-ए-उहद से
apne jalne ka hamesha se tamasha.i huun
अपने जलने का हमेशा से तमाशाई हूँ
samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko
समझते ही नहीं हैं लोग ना-समझी की मुश्किल को
hamare dil ko ab taqat nahin sadme uThane ki
हमारे दिल को अब ताक़त नहीं सदमे उठाने की
asmanon men uDa karte hain phule phule
आसमानों में उड़ा करते हैं फूले फूले
Popular Sher & Shayari
36 total"kam ma.arka-e-zist nahin jang-e-uhad se asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai"
"apne jalne ka hamesha se tamasha.i huun aag ye kis ne laga.i mujhe ma.alum nahin"
"samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko suhulat dekhte hain aur samajhna chhoD dete hain"
"hamare dil ko ab taqat nahin sadme uThane ki bahut bhane lage jo us se milna chhoD dete hain"
"asmanon men uDa karte hain phule phule halke logon ke baDe kaam hava karti hai"
kam maarka-e-zist nahin jang-e-uhad se
asbaab-e-jahaan maal-e-ghanimat ki tarah hai
kise batlaaein ham kyon us ki mahfil mein nahin jaate
huzuri jin ko haasil ho vo darbaari nahin karte
vo kudte uchhalte rangin pairahan the
maasum qahqahon mein uDtaa gulaal dekhaa
hamaare munh pe us ne aaine se dhuup tak pheinki
abhi tak ham samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain
bahut jhuk jhuk ke chaltaa huun main in baunon ki basti mein
ye chhoTaa-pan kabhi mujh ko baDaa hone nahin detaa
aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam havaa karti hai
Ghazalग़ज़ल
hone ko ab kyaa dekhiye kyaa kuchh hai aur kyaa kuchh nahin
होने को अब क्या देखिए क्या कुछ है और क्या कुछ नहीं
ye nashsha-e-aagaahi khatarnaak hai sar mein
ये नश्शा-ए-आगाही ख़तरनाक है सर में
subuk mujh ko mohabbat mein ye kaj-uftaad kartaa hai
सुबुक मुझ को मोहब्बत में ये कज-उफ़्ताद करता है
talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu
तलफ़ करेगी कब तक आरज़ू की जान आरज़ू
mohabbat chaahti hai jis ko afsaana banaa denaa
मोहब्बत चाहती है जिस को अफ़्साना बना देना
kuchh gharaz ham ko nahin hai ki kahaan le jaae
कुछ ग़रज़ हम को नहीं है कि कहाँ ले जाए





