Sher
"bahut parhez hai us ko mira bimar ho kar bhi kisi surat mujhe apni dava hone nahin deta"
"hamare dil ko ab taqat nahin sadme uThane ki bahut bhane lage jo us se milna chhoD dete hain"
ہمارے دل کو اب طاقت نہیں صدمہ اٹھانے کی بہت بھانے لگے جو اوس سے ملنا چھوڑ دیتے ہیں
हमारे दिल को अब ताक़त नहीं सदमे उठाने की बहुत भाने लगे जो उस से मिलना छोड़ देते हैं

"bahut parhez hai us ko mira bimar ho kar bhi kisi surat mujhe apni dava hone nahin deta"
"hamare munh pe us ne aa.ine se dhuup tak phenki abhi tak ham samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain"
"kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai sab mile to bhi sab nahin milta"
"asmanon men uDa karte hain phule phule halke logon ke baDe kaam hava karti hai"
"kam ma.arka-e-zist nahin jang-e-uhad se asbab-e-jahan mal-e-ghanimat ki tarah hai"
"ishq men kuudo agar shauq hai marne ka bahut is se gahri koi khaa.i mujhe ma.alum nahin"