Sher
"main to har dhuup men sayon ka raha huun juuya mujh se likhva.i sarabon ki kahani tum ne"
"nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham ga.i kab iltifat tha ki jo khu-e-sitam ga.i"
نور سحر کہاں ہے اگر شام غم گئی کب التفات تھا کہ جو خوئے ستم گئی
नूर-ए-सहर कहाँ है अगर शाम-ए-ग़म गई कब इल्तिफ़ात था कि जो ख़ू-ए-सितम गई

"main to har dhuup men sayon ka raha huun juuya mujh se likhva.i sarabon ki kahani tum ne"
"jin khayalon ke ulaT pher men uljhin sansen un men kuchh aur bhi sanson ka izafa kar len"
"raat ke baa'd vo sub.h kahan hai din ke baa'd vo shaam kahan jo ashufta-sari hai muqaddar us men qaid-e-maqam kahan"
"ibrat-abad bhi dil hote hain insanon ke daad milti bhi nahin khun-shuda armanon ki"
"bastiyan kaise na mamnun hon divanon ki vus.aten in men vahi laate hain viranon ki"
"meri ankhon hi men the an-kahe pahlu us ke vo jo ik baat suni meri zabani tum ne"