Sher
"na sharmao ankhen mila kar to dekho mulaqat hai ham se tum se kabhi ki"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta"dil hai nisar mardumak-e-chashm-e-dost par bimar ko hai mardum-e-bimar se gharaz"
دل ہے نثار مردمک چشم دوست پر بیمار کو ہے مردم بیمار سے غرض
दिल है निसार मर्दुमक-ए-चश्म-ए-दोस्त पर बीमार को है मर्दुम-ए-बीमार से ग़रज़
"na sharmao ankhen mila kar to dekho mulaqat hai ham se tum se kabhi ki"
"mujh ko rote dekh kar paas aa.e vo tafhim ko kyuun na dil se duun dua.en apne ghain o miim ko"
"dekho nigah-e-shauq se meri taraf mujhe ye mudda.a hai aur koi mudda.a nahin"
"miri janib ko karvaT le ke gar mujh se lipaT jaao abhi dene lage miri tarah tum ko dua karvaT"
"jo husn-o-ishq ka ham-vazn imtihan Thahra vo be-dahan nazar aaya men be-zaban Thahra"
"adab bakhsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne do-zanu hai miri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se"