Sher
"yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul ga.e us ki galiyon se jab lauTe apna bhi ghar bhuul ga.e"
"khuub ga.e pardes ki apne divar-o-dar bhuul ga.e shish-mahal ne aisa ghera miTTi ke ghar bhuul ga.e"
خوب گئے پردیس کہ اپنے دیوار و در بھول گئے شیش محل نے ایسا گھیرا مٹی کے گھر بھول گئے
ख़ूब गए परदेस कि अपने दीवार-ओ-दर भूल गए शीश-महल ने ऐसा घेरा मिट्टी के घर भूल गए

"yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhuul ga.e us ki galiyon se jab lauTe apna bhi ghar bhuul ga.e"
"aa gaya yaad unhen apne kisi gham ka hisab hansne valon ne mire ashk jo gin ke dekhe"
"khaDa huun aaj bhi roTi ke chaar harf liye saval ye hai kitabon ne kya diya mujh ko"
"is liye chal na saka koi bhi khanjar mujh par meri shah-rag pe miri maan ki dua rakkhi thi"
"zakhm kitne tiri chahat se mile hain mujh ko sochta huun ki kahun tujh se magar jaane de"
"apni ankhon ke samundar men utar jaane de tera mujrim huun mujhe Duub ke mar jaane de"