Sher
"ghol ke ghol mire sahn men aa baiThte hain ye parinde mujhe hijrat nahin karne dete"
"hamare baa'd bhi tum qahqahe lagate ho tumhare baa'd to ham baat bhi nahin karte"
ہمارے بعد بھی تم قہقہے لگاتے ہو تمہارے بعد تو ہم بات بھی نہیں کرتے
हमारे बा'द भी तुम क़हक़हे लगाते हो तुम्हारे बा'द तो हम बात भी नहीं करते

"ghol ke ghol mire sahn men aa baiThte hain ye parinde mujhe hijrat nahin karne dete"
"main kaaTa ja.unga sab ko 'aziz hote hue saDak ke biich men aaya hua darakht huun main"
"tumhare saath ik duniya khaDi hai hamare saath to ham bhi nahin hain"
"ham ko khushiyan bhi udasi ke lifafe men milin ham sa bad-bakht zamane men nahin hai koi"
"mujh pe khulta na kabhi lafz-e-mohabbat main ne maan ko dekha to samajh aa.i mohabbat kya hai"
"main ki mahrum tha avaz ki ra'na.i se tum jo aa.e ho to ehsas bhi sun sakta huun"