Sher
"tujh se ai zindagi ghabra hi chale the ham to par tashaffi hai ki ik dushman-e-jan rakhte hain"
Q
Qalaq Merathi"ho mohabbat ki khabar kuchh to khabar phir kyuun ho ye bhi ik be-khabari hai ki khabar rakhte hain"
ہو محبت کی خبر کچھ تو خبر پھر کیوں ہو یہ بھی اک بے خبری ہے کہ خبر رکھتے ہیں
हो मोहब्बत की ख़बर कुछ तो ख़बर फिर क्यूँ हो ये भी इक बे-ख़बरी है कि ख़बर रखते हैं
"tujh se ai zindagi ghabra hi chale the ham to par tashaffi hai ki ik dushman-e-jan rakhte hain"
"be-takalluf maqam-e-ulfat hai daagh uTThe ki aabla baiThe"
"mohabbat vo hai jis men kuchh kisi se ho nahin sakta jo ho sakta hai vo bhi aadmi se ho nahin sakta"
"kya khana-kharabon ka lage tere Thikana us shahr men rahte hain jahan ghar nahin hota"
"asman ahl-e-zamin se kya kudurat-nak tha mudda.i bhi khaak thi aur mudda.a bhi khaak tha"
"tu hai harja.i to apna bhi yahi taur sahi tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi"