Sher
"be-takalluf maqam-e-ulfat hai daagh uTThe ki aabla baiThe"
Q
Qalaq Merathi"tu hai harja.i to apna bhi yahi taur sahi tu nahin aur sahi aur nahin aur sahi"
تو ہے ہرجائی تو اپنا بھی یہی طور سہی تو نہیں اور سہی اور نہیں اور سہی
तू है हरजाई तो अपना भी यही तौर सही तू नहीं और सही और नहीं और सही
"be-takalluf maqam-e-ulfat hai daagh uTThe ki aabla baiThe"
"mohabbat vo hai jis men kuchh kisi se ho nahin sakta jo ho sakta hai vo bhi aadmi se ho nahin sakta"
"kya khana-kharabon ka lage tere Thikana us shahr men rahte hain jahan ghar nahin hota"
"asman ahl-e-zamin se kya kudurat-nak tha mudda.i bhi khaak thi aur mudda.a bhi khaak tha"
"tu dekh to udhar ki jo dekha na jaa.e phir tu guftugu kare to kabhi guftugu na ho"
"tujh se ai zindagi ghabra hi chale the ham to par tashaffi hai ki ik dushman-e-jan rakhte hain"