Quote
"hathon se dil o diida ke aaya huun nipaT tang ankhon ko ro.uun ya main karun sarzanish-e-dil"
Q
Qayem Chaandpuri"aa ai 'asar' mulazim-e-sarkar-e-girya ho yaan juz guhar khazane men tankhvah hi nahin"
آ اے اثرؔ ملازم سرکار گریہ ہو یاں جز گہر خزانے میں تنخواہ ہی نہیں
आ ऐ 'असर' मुलाज़िम-ए-सरकार-ए-गिर्या हो याँ जुज़ गुहर ख़ज़ाने में तनख़्वाह ही नहीं
"hathon se dil o diida ke aaya huun nipaT tang ankhon ko ro.uun ya main karun sarzanish-e-dil"
"raunaq-e-bada-parasti thi hamin tak jab se ham ne ki tauba kahin nam-e-kharabat nahin"
"ham divanon ko bas hai poshish se daman-e-dasht o chadar-e-mahtab"
"baD na kah baat ko tiin hazrat-e-'qa.em' ki ki vo mast-e-allah hain kya janiye kya kahte hain"
"pas-e-ikhlas sakht hai taklif ta-kuja khatir-e-vazi-o-sharif"
"'qa.em' hayat-o-marg-e-buz-o-gav men hain naf.a is mardumi ke shor pe kis kaam ka huun main"