Sher
"kisi ko saaya kisi ko gul-o-samar dega hara-bhara hai darakht-e-rivaj rahne do"
"bara.e-nam hi sahi ba-ehtiyat kijiye darun-e-kizb-o-iftira sadaqaten khalat-malat"
برائے نام ہی سہی بہ احتیاط کیجئے درون کذب و افترا صداقتیں خلط ملط
बराए-नाम ही सही ब-एहतियात कीजिए दरून-ए-किज़्ब-ओ-इफ़्तिरा सदाक़तें ख़लत-मलत

"kisi ko saaya kisi ko gul-o-samar dega hara-bhara hai darakht-e-rivaj rahne do"
"sabza-zaron ki sharafat se na khelo qat.an tum hava ho to khalaon se lipaT kar dekho"
"sharafaton ke rang men shararten khalat-malat sar-mazaq ho ga.iin himaqaten khalat-malat"
"havas-girafta havao nigahen nichi rakho shajar khaDe hain saDak ke qarin be-parda"
"lazzat ka zahr vaqt-e-sahr chhoD kar koi shab ke tamam rishte faramosh kar gaya"
"har ek shakh thi larzan faza men chikh-o-pukar hava ke haath men ik ab-dar khanjar tha"