Sher
"dil se mat sarsari guzar ki 'ra.is' ye zamin asman se aati hai"
"sirf tarikh ki raftar badal ja.egi na.i tarikh ke varis yahi insan honge"
صرف تاریخ کی رفتار بدل جائے گی نئی تاریخ کے وارث یہی انساں ہوں گے
सिर्फ़ तारीख़ की रफ़्तार बदल जाएगी नई तारीख़ के वारिस यही इंसाँ होंगे

"dil se mat sarsari guzar ki 'ra.is' ye zamin asman se aati hai"
"pahle bhi kharab thi ye duniya ab aur kharab ho ga.i hai"
"khamosh zindagi jo basar kar rahe hain ham gahre samundaron men safar kar rahe hain ham"
"kis ne dekhe hain tiri ruuh ke riste hue zakhm kaun utra hai tire qalb ki gahra.i men"
"pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na baDhe ab ye shikva ki sharafat ne kahin ka na rakha"
"ham apni zindagi to basar kar chuke 'ra.is' ye kis ki ziist hai jo basar kar rahe hain ham"