Sher
"badan ne chhoD diya ruuh ne riha na kiya main qaid hi men raha qaid se nikal ke bhi"
"shaam se pahle tiri shaam na hone dunga zindagi main tujhe nakam na hone dunga"
شام سے پہلے تری شام نہ ہونے دوں گا زندگی میں تجھے ناکام نہ ہونے دوں گا
शाम से पहले तिरी शाम न होने दूँगा ज़िंदगी मैं तुझे नाकाम न होने दूँगा

"badan ne chhoD diya ruuh ne riha na kiya main qaid hi men raha qaid se nikal ke bhi"
"kaise karen bandagi 'zafar' vaan bandon ki jahan khuda.iyan hain"
"ik-adh baar to jaan varni hi paDti hai mohabbaten hon to banta nahin bahana koi"
"kitni be-sud juda.i hai ki dukh bhi na mila koi dhoka hi vo deta ki main pachhta sakta"
"ham itna chahte the ek dusre ko 'zafar' main us ki aur vo meri misal ho ke raha"
"main ne ghaTe ka bhi ik sauda kiya jis se jo va.ada kiya puura kiya"