Sher
"qurbaten hote hue bhi faslon men qaid hain kitni azadi se ham apni hadon men qaid hain"
"aur is se pahle ki sabit ho jurm-e-khamoshi ham apni raa.e ka iz.har karna chahte hain"
اور اس سے پہلے کہ ثابت ہو جرم خاموشی ہم اپنی رائے کا اظہار کرنا چاہتے ہیں
और इस से पहले कि साबित हो जुर्म-ए-ख़ामोशी हम अपनी राय का इज़हार करना चाहते हैं

"qurbaten hote hue bhi faslon men qaid hain kitni azadi se ham apni hadon men qaid hain"
"ai mire charagar tire bas men nahin mo.amla surat-e-hal ke liye vaqif-e-hal chahiye"
"khamosh sahi markazi kirdar to ham the phir kaise bhala teri kahani se nikalte"
"tu ne dekha nahin ik shakhs ke jaane se 'salim' is bhare shahr ki jo shakl hui hai mujh men"
"main janta huun makinon ki khamushi ka sabab makan se pahle dar-o-bam se mila huun main"
"main khayal huun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai sar-e-a.ina mira aks hai pas-e-a.ina koi aur hai"