Sher
"qurbaten hote hue bhi faslon men qaid hain kitni azadi se ham apni hadon men qaid hain"
"kahani likhte hue dastan sunate hue vo so gaya hai mujhe khvab se jagate hue"
کہانی لکھتے ہوئے داستاں سناتے ہوئے وہ سو گیا ہے مجھے خواب سے جگاتے ہوئے
कहानी लिखते हुए दास्ताँ सुनाते हुए वो सो गया है मुझे ख़्वाब से जगाते हुए

"qurbaten hote hue bhi faslon men qaid hain kitni azadi se ham apni hadon men qaid hain"
"ai mire charagar tire bas men nahin mo.amla surat-e-hal ke liye vaqif-e-hal chahiye"
"khamosh sahi markazi kirdar to ham the phir kaise bhala teri kahani se nikalte"
"tu ne dekha nahin ik shakhs ke jaane se 'salim' is bhare shahr ki jo shakl hui hai mujh men"
"main janta huun makinon ki khamushi ka sabab makan se pahle dar-o-bam se mila huun main"
"main khayal huun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai sar-e-a.ina mira aks hai pas-e-a.ina koi aur hai"