Sher
"sahil pe qaid lakhon safinon ke vaste meri shikasta naav hai tufan liye hue"
"chaha tha Thokaron men guzar jaa.e zindagi logon ne sang-e-rah samajh kar haTa diya"
چاہا تھا ٹھوکروں میں گزر جائے زندگی لوگوں نے سنگ راہ سمجھ کر ہٹا دیا
चाहा था ठोकरों में गुज़र जाए ज़िंदगी लोगों ने संग-ए-राह समझ कर हटा दिया

"sahil pe qaid lakhon safinon ke vaste meri shikasta naav hai tufan liye hue"
"jo teri bazm se uTTha vo is tarah uTTha kisi ki aankh men aansu kisi ke daman men"
"apni khuddari salamat dil ka aalam kuchh sahi jis jagah se uTh chuke hain us jagah phir jaa.en kya"
"manzil na mili kashmakash-e-ahl-e-nazar men is bhiiD se main apni nazar le ke chala huun"
"ye bhi ik raat kaT hi ja.egi sub.h-e-farda ki muntazir hai nigah"
"miT chuke jo bhi the tauba-shikani ke asbab ab na mai-khana na paimana na shisha na subu"