Sher
"jis shakhs ke jiite ji puchha na gaya 'saqib' us shakhs ke marne par uTThe hain qalam kitne"
"muTThiyon men khaak le kar dost aa.e vaqt-e-dafn zindagi bhar ki mohabbat ka sila dene lage"
مٹھیوں میں خاک لے کر دوست آئے وقت دفن زندگی بھر کی محبت کا صلا دینے لگے
मुट्ठियों में ख़ाक ले कर दोस्त आए वक़्त-ए-दफ़्न ज़िंदगी भर की मोहब्बत का सिला देने लगे

"jis shakhs ke jiite ji puchha na gaya 'saqib' us shakhs ke marne par uTThe hain qalam kitne"
"zamana baDe shauq se sun raha tha hamin so ga.e dastan kahte kahte"
"aadhi se ziyada shab-e-gham kaaT chuka huun ab bhi agar aa jaao to ye raat baDi hai"
"mushkil-e-ishq men lazim hai tahammul 'saqib' baat bigDi hui banti nahin ghabrane se"
"sunne vaale ro diye sun kar mariz-e-gham ka haal dekhne vaale taras kha kar dua dene lage"
"baghban ne aag di jab ashiyane ko mire jin pe takiya tha vahi patte hava dene lage"