Sher
"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"dil-e-muztar se puchh ai raunaq-e-bazm main khud aaya nahin laaya gaya huun"
دل مضطر سے پوچھ اے رونق بزم میں خود آیا نہیں لایا گیا ہوں
दिल-ए-मुज़्तर से पूछ ऐ रौनक़-ए-बज़्म मैं ख़ुद आया नहीं लाया गया हूँ

"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"parvanon ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat sham.a pe kya dekhte chalen"
"lahad men kyuun na ja.un munh chhupa.e bhari mahfil se uThvaya gaya huun"
"ek sitam aur laakh ada.en uf ri javani haa.e zamane tirchhi nigahen tang qaba.en uf ri javani haa.e zamane"
"talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad' hamen to aap nahin apna mudda.a ma.alum"
"main 'shad' tanha ik taraf duniya ki duniya ik taraf saara samundar ik taraf aansu ka qatra ik taraf"