Sher
"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"kahan se la.un sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saaqi khum aa.ega surahi aa.egi tab jaam aa.ega"
کہاں سے لاؤں صبر حضرت ایوب اے ساقی خم آئے گا صراحی آئے گی تب جام آئے گا
कहाँ से लाऊँ सब्र-ए-हज़रत-ए-अय्यूब ऐ साक़ी ख़ुम आएगा सुराही आएगी तब जाम आएगा

"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"parvanon ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat sham.a pe kya dekhte chalen"
"lahad men kyuun na ja.un munh chhupa.e bhari mahfil se uThvaya gaya huun"
"ek sitam aur laakh ada.en uf ri javani haa.e zamane tirchhi nigahen tang qaba.en uf ri javani haa.e zamane"
"talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad' hamen to aap nahin apna mudda.a ma.alum"
"main 'shad' tanha ik taraf duniya ki duniya ik taraf saara samundar ik taraf aansu ka qatra ik taraf"