Sher
"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"ye bazm-e-mai hai yaan kotah-dasti men hai mahrumi jo baDh kar khud uTha le haath men miina usi ka hai"
یہ بزم مے ہے یاں کوتاہ دستی میں ہے محرومی جو بڑھ کر خود اٹھا لے ہاتھ میں مینا اسی کا ہے
ये बज़्म-ए-मय है याँ कोताह-दस्ती में है महरूमी जो बढ़ कर ख़ुद उठा ले हाथ में मीना उसी का है

"nazar ki barchhiyan jo sah sake siina usi ka hai hamara aap ka jiina nahin jiina usi ka hai"
"parvanon ka to hashr jo hona tha ho chuka guzri hai raat sham.a pe kya dekhte chalen"
"lahad men kyuun na ja.un munh chhupa.e bhari mahfil se uThvaya gaya huun"
"ek sitam aur laakh ada.en uf ri javani haa.e zamane tirchhi nigahen tang qaba.en uf ri javani haa.e zamane"
"talab karen bhi to kya shai talab karen ai 'shad' hamen to aap nahin apna mudda.a ma.alum"
"main 'shad' tanha ik taraf duniya ki duniya ik taraf saara samundar ik taraf aansu ka qatra ik taraf"