Sher
"khvan-e-falak pe ne.amat-e-alvan hai kahan khali hain mahr-o-mah ki dono rikabiyan"
"dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban' kya mire hijr men jiita hai vo ghamnak hanuz"
دیکھ قاصد کو مرے یار نے پوچھا تاباںؔ کیا مرے ہجر میں جیتا ہے وہ غم ناک ہنوز
देख क़ासिद को मिरे यार ने पूछा 'ताबाँ' क्या मिरे हिज्र में जीता है वो ग़मनाक हनूज़

"khvan-e-falak pe ne.amat-e-alvan hai kahan khali hain mahr-o-mah ki dono rikabiyan"
"yahan yaar aur bardar koi nahin kisi ka duniya ke biich 'taban' ham kis se dil lagaven"
"vo to sunta nahin kisi ki baat us se main haal kya kahun 'taban'"
"main to talib dil se hunga diin ka daulat-e-duniya mujhe matlub nahin"
"ye jo hain ahl-e-riya aaj faqiron ke biich kal ginenge humaqa un hi ko piron ke biich"
"mujhe aata hai rona aisi tanha.i pe ai 'taban' na yaar apna na dil apna na tan apna na jaan apna"