Sher
"lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna atish-e-be-rang men khud ko pighalte dekhna"
"mujhe aziiz hai be-ehtiyati-e-sada na shauq hai na hunar us ko azmane ka"
مجھے عزیز ہے بے احتیاطیٔ سادہ نہ شوق ہے نہ ہنر اس کو آزمانے کا
मुझे अज़ीज़ है बे-एहतियाती-ए-सादा न शौक़ है न हुनर उस को आज़माने का

"lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna atish-e-be-rang men khud ko pighalte dekhna"
"gham-e-zamana jab na ho gham-e-vajud DhunD luun ki ik zamin-e-jan jo hai vo daghdar chahiye"
"duur tak ye raste khamosh hain duur tak ham khud ko sunte ja.enge"
"shahron ke saare jangal gunjan ho ga.e hain phir log mere andar sunsan ho ga.e hain"
"is khubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai vo shakhs miri jaan ka talabgar hua hai"
"dukhon ke ruup bahut aur sukhon ke khvab bahut tira karam hai bahut par mire azaab bahut"