Sher
"bujhte hue charagh farozan karenge ham tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge ham"
"daman ke daagh ashk-e-nadamat ne dho diye lekin ye dil ka daagh miTaya na ja saka"
دامن کے داغ اشک ندامت نے دھو دئیے لیکن یہ دل کا داغ مٹایا نہ جا سکا
दामन के दाग़ अश्क-ए-नदामत ने धो दिए लेकिन ये दिल का दाग़ मिटाया न जा सका

"bujhte hue charagh farozan karenge ham tum aaoge to jashn-e-charaghan karenge ham"
"didar se pahle hi kya haal hua dil ka kya hoga jo ulTenge vo rukh se naqab akhir"
"kitni ghaTa.en aa.iin baras kar guzar ga.iin shola hamare dil ka bujhaya na ja saka"
"aaj rukhsat ho gaya duniya se ik bimar-e-gham dard aisa dil men uTTha jaan le kar hi gaya"
"khuda ke samne jo sar yaqin ke saath jhuk jaa.e kisi taqat ke aage phir kabhi vo kham nahin hota"
"vafur-e-be-khudi men rakh diya sar un ke qadmon par vo kahte hi rahe 'vasif' ye mahfil hai ye mahfil hai"