Shayari
fan pe chaahe 'ubur ho haasil
ek khaami hunar mein rahti hai

Zubair Khayali
fan pe chaahe 'ubur ho haasil
ek khaami hunar mein rahti hai
intihaa ke qarib hai duniyaa
aadmi aakhiri sadi kaa huun
gard-aalud hain kitaabein sab
mar rahi hai asaas kamre mein
'ajab haalat hui apni ganvaa kar ek shai ko
use DhunDaa vahaan par bhi jahaan rakkhaa nahin thaa