SHAWORDS

baat kaa apni na jab paayaa javaab — Khwaja Mohammad Wazir

"baat kaa apni na jab paayaa javaab ham ye samjhe vo dahan hai laa-javaab baatein sunvaain lab-e-khaamosh ne varna ham dete use kyaa kyaa javaab be-nishaan hai vo kamar shakl-e-dahan kaun si shai hai nahin jis kaa javaab saada kaaghaz bhejaa naame ke evaz vaan se aayaa bhi to saaf aayaa javaab puchhtaa gar us kamar kaa main nishaan ghaib se miltaa mujhe is kaa javaab tum jo kuchh kahte zabaan-e-tegh se main dahaan-e-zakhm se detaa javaab aaj mujh se baat agar karte nahin deinge ye but kal khudaa ko kyaa javaab be-dahan vo hai to main huun be-zabaan yaar ki surat huun main bhi laa-javaab kah ke ik misraa mah-e-nau rah gayaa ho sakaa kab bait-e-abru kaa javaab baat sidhi ki jo thaa mazkur-e-qad zikr-e-abru mein diyaa TeDhaa javaab kijiye kyaa baat us kaj-taba se degaa charkh-e-vazhgun ulTaa javaab baatein kartaa hai jo parda chhoD kar mujh ko detaa hai vo dar-parda javaab aa gayaa ai vaae paighaam-e-ajal par na qaasid le ke kuchh aayaa javaab sun ke baitein mere haasid chup rahe ai 'vazir' apnaa sukhan hai laa-javaab"
Urdu

بات کا اپنی نہ جب پایا جواب ہم یہ سمجھے وہ دہن ہے لا جواب باتیں سنوائیں لب خاموش نے ورنہ ہم دیتے اسے کیا کیا جواب بے نشاں ہے وہ کمر شکل دہن کون سی شے ہے نہیں جس کا جواب سادہ کاغذ بھیجا نامہ کے عوض واں سے آیا بھی تو صاف آیا جواب پوچھتا گر اس کمر کا میں نشاں غیب سے ملتا مجھے اس کا جواب تم جو کچھ کہتے زبان تیغ سے میں دہان زخم سے دیتا جواب آج مجھ سے بات اگر کرتے نہیں دیں گے یہ بت کل خدا کو کیا جواب بے دہن وہ ہے تو میں ہوں بے زباں یار کی صورت ہوں میں بھی لا جواب کہہ کے اک مصرع مہ نو رہ گیا ہو سکا کب بیت ابرو کا جواب بات سیدھی کی جو تھا مذکور قد ذکر ابرو میں دیا ٹیڑھا جواب کیجیے کیا بات اس کج‌ طبع سے دے گا چرخ واژگوں الٹا جواب باتیں کرتا ہے جو پردہ چھوڑ کر مجھ کو دیتا ہے وہ در پردہ جواب آ گیا اے وائے پیغام اجل پر نہ قاصد لے کے کچھ آیا جواب سن کے بیتیں میرے حاسد چپ رہے اے وزیرؔ اپنا سخن ہے لا جواب

Hindi

बात का अपनी न जब पाया जवाब हम ये समझे वो दहन है ला-जवाब बातें सुनवाईं लब-ए-ख़ामोश ने वर्ना हम देते उसे क्या क्या जवाब बे-निशाँ है वो कमर शक्ल-ए-दहन कौन सी शय है नहीं जिस का जवाब सादा काग़ज़ भेजा नामे के एवज़ वाँ से आया भी तो साफ़ आया जवाब पूछता गर उस कमर का मैं निशाँ ग़ैब से मिलता मुझे इस का जवाब तुम जो कुछ कहते ज़बान-ए-तेग़ से मैं दहान-ए-ज़ख़्म से देता जवाब आज मुझ से बात अगर करते नहीं देंगे ये बुत कल ख़ुदा को क्या जवाब बे-दहन वो है तो मैं हूँ बे-ज़बाँ यार की सूरत हूँ मैं भी ला-जवाब कह के इक मिस्रा मह-ए-नौ रह गया हो सका कब बैत-ए-अबरू का जवाब बात सीधी की जो था मज़कूर-ए-क़द ज़िक्र-ए-अबरू में दिया टेढ़ा जवाब कीजिए क्या बात उस कज-तबअ' से देगा चर्ख़-ए-वाज़गूँ उल्टा जवाब बातें करता है जो पर्दा छोड़ कर मुझ को देता है वो दर-पर्दा जवाब आ गया ऐ वाए पैग़ाम-ए-अजल पर न क़ासिद ले के कुछ आया जवाब सुन के बैतें मेरे हासिद चुप रहे ऐ 'वज़ीर' अपना सुख़न है ला-जवाब

baat kā apnī na jab paayā javāb
Khwaja Mohammad Wazir
Khwaja Mohammad Wazir
Khwaja Mohammad Wazir
poet97 quotes

More by Khwaja Mohammad Wazir

View all →
Quote
"jo khaas bande hain vo banda-e-avaam nahin hazaar baar jo yusuf bike ghulaam nahin bhalaa ho kyaa dil-e-zaahid mein soz-e-ulfat-e-haq kabhi jalaane ke qaabil charaagh-e-khaam nahin gilaa hai chashm-e-sukhan-go se khaamushi kaa hamein dahan ke hone na hone mein kuchh kalaam nahin tu aaftaab hai zulf-e-siyah nahin to na ho charaagh-e-roz ko kuchh ehtiyaaj-e-shaam nahin 'aziz aashiq-e-gumnaam kaa hai dil us ko nagin vo haath mein rakhtaa hai jis mein naam nahin bas ek haath mein do ho ke paDh dogaanaa-e-ishq jo be-namaaz hai vo qaabil-e-salaam nahin ye sar jhukaanaa ye munh phernaa hai maane'-e-did miri namaaz mein sajda nahin salaam nahin vo mujh pe marne lagi jo hai mere darpai-e-qatl ilaahi is ke sivaa aur intiqaam nahin firaaq-e-yaar mein dast-e-subu uDaate hain khaak ye gard-baad hai gardish mein apnaa jaam nahin na hans rulaaegaa tujh ko khumaar-e-baada-e-aish mai-nashaat to is bazm mein mudaam nahin phanse na qaid-e-ta'alluq mein jo ki hai aazaad chaman mein taair-e-nikhat asir-e-daam nahin vo dil ho chaak nahin 'ishq kaa nishaan jis mein nagin vo TuuTe mohabbat kaa jis mein naam nahin rahegaa hijr kaa din kab kaTe agar shab-e-vasl mudaam roz-e-qayaamat ko bhi qayaam nahin bane jo baal kaa phandaa tumhaari tegh kaa baal to murgh-e-jaan ke liye behtar is se daam nahin mai-e-do-aatisha-e-kufr-o-din se khalq hai mast magar sharaab ye ham-mashrabo haraam nahin pukaaraa apnaa gadaa kah ke mujh ko ai shah-e-husn faqir huun tire dar kaa 'vazir' naam nahin"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir
Quote
"chalaa hai o dil-e-raahat-talab kyaa shaadmaan ho kar zamin-e-ku-e-jaanaan ranj degi aasmaan ho kar kiyaa viraan chaman ko aae ho kyaa bostaan ho kar hue gul paani paani ye chali aab-e-ravaan ho kar isi khaatir to qatl-e-aashiqaan se man' karte the akele phir rahe ho yusuf-e-be-kaarvaan ho kar javaab-e-naama kyaa laayaa tan-e-be-jaan mein jaan aai gayaa yaan se kabutar vaan se aayaa murgh-e-jaan ho kar ghazab hai ruuh se is jaama-e-tan kaa judaa honaa libaas-e-tang hai utregaa aakhir dhajjiyaan ho kar agar aahista bolun naa-tavaani kahti hai bas bas sadaa-e-jumbish-e-lab dete hi sadme fughaan ho kar izaar-e-aatishin khatt-e-siyah ik din nikaalegaa rulaaegaa ye sho'la meri aankhon kaa dhuaan ho kar mukaddar ho agar lo mujh ko gaaDo is taraf dekho ki zer-e-khaak huun gard-e-nigah se naa-tavaan ho kar kiyaa ghairon ko qatl us ne mue ham rashk ke maare ajal bhi dosto aai nasib-e-dushmanaan ho kar phiraa sad-chaak ho kar kucha-e-kaakul se dil apnaa azizo yusuf-e-gum-gashta aayaa kaarvaan ho kar kamaan abru ki aise narm hai aaegaa jo naavak rahegaa ustukhvaan mein apne maghz-e-ustukhvaan ho kar chhuDaai chuus kar ham ne misi to kyaa hai sharmaayaa lab us mahjub kaa chhupne lagaa munh mein zabaan ho kar falak meri tarah aakhir tujhe bhi piis Daalegaa uDegaa ai humaa ik roz gard-e-ustukhvaan ho kar humaa se hai kaDaapan ai sag-e-jaanaan jo tu khaae mulaaim ustukhvaan ho jaaein maghz-e-ustukhvaan ho kar jahaan jo chaahiye vaisi hi vo dikhlaae nairangi basar aankhon mein goyaai zabaan mein dil mein jaan ho kar sitam kar us ke ye dekhe to khun-rezi pe maail ho kare sang-e-malaamat tez khanjar ko fasaan ho kar nahaane mein jo lahraati hai zulf-e-yaar dariyaa mein taDapne lagti hain paani pe maujein machhliyaan ho kar udaasi jhuk ke milte ho nigah se qatl karte ho sitam-ijaad ho naavak lagaate ho kamaan ho kar uThaaegi jo ham ko vahshat-e-dil yaar ke dar se gireinge paaezi paanv pe apne beDiyaan ho kar kahaa jo us ne chaahaa zo'f se yaan lab nahin milte subuk kar deti hain harf-e-sukhan baar-e-garaan ho kar asar baaqi rahaa balbe shab-e-furqat ki taariki charaagh-e-roz se sho'la nikal aayaa dhuaan ho kar khat-e-nau-khez mein aariz jo tere chhupte jaate hain pari ban jaaeinge is sabz shishe mein nihaan ho kar giraa qadmon pe said-e-naa-tavaan thaa haath se chhuT kar jagah de ab to naqsh-e-paae-e-sayyaad aashiyaan ho kar tire vahshi ko barson ai pari kab niind aati hai agar khvaab-e-giraan aayaa bhi to sang-e-giraan ho kar 'vazir' us kaa huun main shaagird jis ko kahte hain munsif liyaa mulk-e-maaani baadshaah-e-shaairaan ho kar"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir
Quote
"nahin kaTtaa hai ye maidaan-e-balaa vaadi-e-khizr bayaabaan-e-balaa mustaid zulf miri ranj pe hai hai muhayyaa sar-o-saamaan-e-balaa mar gayaa gesu-e-pur-pech mein dil chhuT gayaa qaidi-e-zindaan-e-balaa haar phulon ki hain choTi mein ayaan kyaa hi phulaa hai gulistaan-e-balaa bole bikhraa ke vo zulfein apni ham hue silsila-jumbaan-e-balaa unchi choTi hai ghazab ai yam-e-husn kyaa hi uTThaa hai ye tufaan-e-balaa kaan ki lau tiri zulfon mein nahin hai charaagh-e-tah-e-daamaan-e-balaa garmi-e-rukh se araq-rez hai zulf hai guhar-baar ye naisaan-e-balaa dil mire siine mein hai mahv-e-mizha hai yahi sher-e-niyastaan-e-balaa"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir
Quote
"mere naalon se tah-o-baalaa hui aksar zamin zer-e-paa aayaa falak aur baarhaa sar par zamin hai dayaar-e-maah-ru kaa bas yahi qaasid nishaan aasmaan tujh ko nazar aaegi vaan ki sar-zamin kis taraf jaaun ki ho in do balaaon se najaat aasmaan ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin baari baari ye mujhe pisein ba-rang-e-aasiyaa aasmaan din bhar rahe gardish mein to shab-bhar zamin misl-e-khurshid aasmaan jaltaa hai aah-e-garm se kaanpti hai ThanDi saanson se miri thar-thar zamin jis jagah hain dafn qaatil teri mizhgaan ke shahid vaan evaz sabzi ke paidaa karti hai nashtar zamin saikDon is mein gae mahbub jaa-e-rashk hai rakhti hai aaghosh mein kyaa kyaa pari-paikar zamin aatish-e-furqat se aalam kora-e-aatish huaa aasmaan hai duud ham akhgar mein aur mujmar zamin ishq-e-khaal-e-yaar ne aisaa kiyaa zaar-o-nahif baiThe rahne ko mire kaafi hai ab til bhar zamin"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir
Quote
"tire rukh kaa kise saudaa nahin hai gul-e-laala talak sahraa-nashin hai phiraa hai aap vo mah-ru hamaaraa tiraa ai aasmaan shikva nahin hai kahin aisaa na ho uTThe na talvaar yahi Dar hai ki qaatil naaznin hai na puchho mere aansu tum na puchho kahegaa koi tum ko khosha-chin hai adab se paa-barahna phirte hain ham junun farsh-e-ilaahi ye zamin hai buraa sab dushmanon kaa chaahte hain main khush huun jaise dil andoh-gin hai rahe mazmun-e-gham ki tarah is mein hamaaraa ghar hai yaa bait-e-hazin hai jahaan hai jalva-gar vo ghairat-e-maah ilaahi aasmaan hai yaa zamin hai banaayaa tujh ko aisaa khubsurat ki naazaan tujh pe surat-aafrin hai hain ishq-e-zulf mein aazaa bhi dushman hamaaraa haath maar-e-aastin hai na niklaa be tire main ghar se baahar nigah tak chashm mein khalvat-nashin hai falak jo chaahe ham par zulm kar le abhi to zabt-e-aah-e-aatishin hai paDaa hai tafraqa be-taabiyon se 'vazir' ab main kahin huun dil kahin hai"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir
Quote
"har uzv musaafir hai nahin kuchh safari aankh hai aakhir-e-shab umr charaagh-e-sahari aankh kyaa karti hai dilkash sukhan ai rashk-e-pari aankh lo siikh gai tarz-e-kalaam-e-bashri aankh un aankhon mein saanea ne bhare kuuT ke moti qismat ye hamaari hai ki ashkon se bhari aankh baatein jo karo naaz se tum munh ko chhupaa kar sunne ke liye kaan ho ai rashk-e-pari aankh aayaa hai mire dil kaa ghubaar aansuon ke saath lo ab to hui maalik-e-khushki-o-tari aankh ab tak vahi ronaa hai vahi hasrat-e-didaar ham mar gae is par bhi ye kaafir na mari aankh tayyaar kiyaa khaama-e-mu apne mizha se khincheinge magar naqsha-e-naazuk kamri aankh nargis pe nazar kiije dobaara ki vo kaT jaae ho jaae nazar-e-saani mein is ki nazari aankh sohbat kaa asar saahab-e-binish ko ho kyunkar ainak ho agar sabz na ho jaae hari aankh baaton ko zabaan misl-e-sukhan munh se nikal jaae nazzaare ko ho paa-e-nigah se safari aankh tir-e-mizha-e-yaar ko mizhgaan hi samajhte kis aankh se laDte hi sadaa balbe jari aankh raftaar to dikhlaa ke za-khud rafta banaa do nargis ki tarah hai hama-tan kabk-e-dari aankh daaman ki tarah chaak hue aankh ke parde o dast-e-junun se ki gai jaama-dari aankh jo ahl-e-nazar mein kabhi khud-bin nahin hoti dekho ki hai is aib-e-numaayaan se bari aankh kyaa qahr sivaa aayat-e-abru hui naazil Dar hai na kare daava-e-paighaambari aankh kashti vo liye nuuh ki maanind chale aaein tufaan bapaa kar shab-e-furqat mein ari aankh rahte hain 'vazir' ashk ki jaa TukDe jigar ke in rozon hui kaan-e-aqiq-e-jigri aankh"
Khwaja Mohammad WazirKhwaja Mohammad Wazir