SHAWORDS

basaaraton ko rah-e-shauq mein ganvaa dekhaa — Aabid Jafri

HomeAabid JafriGhazal
"basaaraton ko rah-e-shauq mein ganvaa dekhaa tujhe na dekhaa magar haan ye haadisa dekhaa vajud saunp ke sab kuchh bachaa liyaa ham ne na aankh mein koi aansu na saaneha dekhaa kitaab-e-zist bhi apni nahin rahi ki yahaan har ik varaq pe nayaa ek haashiya dekhaa khilaaf-e-mauj samundar-shanaas bah nikle main jis taraf gayaa tufaan hi uThaa dekhaa"
Urdu

بصارتوں کو رہ شوق میں گنوا دیکھا تجھے نہ دیکھا مگر ہاں یہ حادثہ دیکھا وجود سونپ کے سب کچھ بچا لیا ہم نے نہ آنکھ میں کوئی آنسو نہ سانحہ دیکھا کتاب زیست بھی اپنی نہیں رہی کہ یہاں ہر اک ورق پہ نیا ایک حاشیہ دیکھا خلاف موج سمندر شناس بہہ نکلے میں جس طرف گیا طوفان ہی اٹھا دیکھا

Hindi

बसारतों को रह-ए-शौक़ में गँवा देखा तुझे न देखा मगर हाँ ये हादिसा देखा वजूद सौंप के सब कुछ बचा लिया हम ने न आँख में कोई आँसू न सानेहा देखा किताब-ए-ज़ीस्त भी अपनी नहीं रही कि यहाँ हर इक वर्क़ पे नया एक हाशिया देखा ख़िलाफ़-ए-मौज समुंदर-शनास बह निकले मैं जिस तरफ़ गया तूफ़ान ही उठा देखा

basāratoñ ko rah-e-shauq meñ gañvā dekhā
Aabid Jafri
Aabid Jafri
Aabid Jafri
poet25 quotes

More by Aabid Jafri

View all →
Quote
"kar chukaa phuul main jab saare jahaan ke patthar aa paDe sar pe mire jaane kahaan ke patthar zarf-e-dil mein nami-e-ashk-e-haqiqat na rahi itne bakhshe hamein logon ne gumaan ke patthar pa-e-haq dar-pae-paikaar koi miltaa nahin bandh gae paanv se kyaa vahshat-e-jaan ke patthar khaak mein mil gae sab phuul se logon ke vajud lag gae qabr pe bas naam-o-nishaan ke patthar ku-ba-ku ho gaiin taamir ibaadat-gaahein jama karte hi rahe ham to makaan ke patthar zindagi ke liye gauhar vahi Thahre 'aabid' log kahte hain jinhein fikr-e-javaan ke patthar"
Aabid JafriAabid Jafri
Quote
"fikr rakhte hain kahaan zehn agar rakhte hain dasht-e-be-aab mein jo tukhm-e-hunar rakhte hain har nai baat bhulaa deti hai pahle kaa khayaal vo to akhbaar hain bas taaza khabar rakhte hain miT gayaa rang-e-taalluq to ye chehre ke nuqush ek ik khatt-e-taassur mein khabar rakhte hain aise logon kaa milaa ham ko zamaana jo log kor-binaa hain magar ham pe nazar rakhte hain koi aahaT hai na dastak ki bichhaD jaae sukut jin ko divaar mayassar ho vo dar rakhte hain jab bhi aati hai kisi samt se maqtal ki havaa dhyaan aataa hai abhi dosh pe sar rakhte hain"
Aabid JafriAabid Jafri
Quote
"shab ki aaghosh mein jaagaa huaa ghar kis kaa hai us pe aaseb nahin hai to asar kis kaa hai aisaa sailaab ki jangal ko bahaa le jaae aise sailaab mein be-barg shajar kis kaa hai ungliyon mein utar aae hain basaarat ke rumuz tirgi mein rahe makhfi ye hunar kis kaa hai be-charaaghi hi rahi apne gharon ki miraas raushni puchhti phirti hai ki dar kis kaa hai vo musaafir to gayaa chhoD ke yaadein apni kis ko batlaaun ki ye zaad-e-safar kis kaa hai tum miri raah se ho kar nahin guzre ho to phir naqsh-e-paa ye taraf-e-raahguzar kis kaa hai phir se madhosh-e-tamanna ke hue hosh-ba-jaa ham pe 'aabid' ye karam baar-e-digar kis kaa hai"
Aabid JafriAabid Jafri
Quote
"dard ki aanch mein jaltaa hai ye ghar kyaa kiije khvaab hoti hai tamanna ki sahar kyaa kiije ham bhi maanus nahin dil ke andheron se abhi taaer-e-shab bhi hai khole hue par kyaa kiije duur manzil hai kaDi dhuup mein karnaa hai safar kaT gae raah mein jitne the shajar kyaa kiije vo gae vaqt ki maanind na lauTegaa kabhi ab luTaa kar ye vafaaon ke guhar kyaa kiije be-gavaahi ke bhanvar mein hai miri zaat ki ab aankh ki jhiil bhi hoti nahin tar kyaa kiije baarish-e-sang to be-vajh nahin hai 'aabid' aa gayaa mujh ko vafaaon kaa hunar kyaa kiije"
Aabid JafriAabid Jafri
Quote
"mohabbaton par dil-e-hazin ko nisaar karnaa hai yuun ki jaise junun mein khud hi pe vaar karnaa ajab nahin vo bhi mere raste pe khud ko Daale vo jis ne sikhaa hai qaafilon ko ghubaar karnaa vo ek baarish ki muntazir be-shumaar aankhein vo ek tufaan kaa bastiyon ko shumaar karnaa mujhe to us ne tamaam lamhe vahi diye hain vahi jo ahl-e-junun ko hon ikhtiyaar karnaa shafaq utar kar tumhaare pallu se bandh gai hai jo ho sake to sahar talak ye hisaar karnaa aziyyaton kaa khamir zakhm-e-nihaan se uTThaa kabhi jo chaahaa hai dil kaa sahraa bahaar karnaa"
Aabid JafriAabid Jafri