"koi ghaTaa baalaa-e-baam si lagti hai shaam nahin hai lekin shaam si lagti hai dekhte hi aankhon mein aa jaataa hai surur hinaa tire haathon mein jaam si lagti hai mausam-e-gul bhi baad-e-sabaa bhi hai lekin nikhat-e-gesu mere naam si lagti hai ab main is ko kis gham se taa'bir karun ye shab bhi mujh ko be-naam si lagti hai 'ajab asiri 'ajab hai ye aazaadi bhi khuli fazaa hai lekin daam si lagti hai 'zeb' kivaaDein jab barson ke baa'd khulein taaza havaa bhi ik in'aam si lagti hai"
dasht-e-navaa kaa rah-rau huun main baad-e-sabaa hai mere saath — Zeb Ghauri
"dasht-e-navaa kaa rah-rau huun main baad-e-sabaa hai mere saath khud hi apni khaak uDaataa kaun chalaa hai mere saath tu bhi hai tasvir-e-tamannaa naqsh ki surat uDtaa jaa main bhi lahu ki mauj-e-ravaan huun rang-e-hinaa hai mere saath rafta-rafta shaam ke saae gahre hote jaate hain dhire-dhire saaraa manzar duub rahaa hai mere saath main to samajhtaa thaa ki main tanhaa leTaa huun aankhein khole koi aur bhi mere andar jaag rahaa hai mere saath vo jo miraa qaatil thaa mujh mein us ko kis ne qatl kiyaa 'zeb' mire hi khuun mein lithDaa vo bhi paDaa hai mere saath"
دشت نوا کا رہ رو ہوں میں باد صبا ہے میرے ساتھ خود ہی اپنی خاک اڑاتا کون چلا ہے میرے ساتھ تو بھی ہے تصویر تمنا نقش کی صورت اڑتا جا میں بھی لہو کی موج رواں ہوں رنگ حنا ہے میرے ساتھ رفتہ رفتہ شام کے سائے گہرے ہوتے جاتے ہیں دھیرے دھیرے سارا منظر ڈوب رہا ہے میرے ساتھ میں تو سمجھتا تھا کہ میں تنہا لیٹا ہوں آنکھیں کھولے کوئی اور بھی میرے اندر جاگ رہا ہے میرے ساتھ وہ جو مرا قاتل تھا مجھ میں اس کو کس نے قتل کیا زیبؔ مرے ہی خون میں لتھڑا وہ بھی پڑا ہے میرے ساتھ
दश्त-ए-नवा का रह-रौ हूँ मैं बाद-ए-सबा है मेरे साथ ख़ुद ही अपनी ख़ाक उड़ाता कौन चला है मेरे साथ तू भी है तस्वीर-ए-तमन्ना नक़्श की सूरत उड़ता जा मैं भी लहू की मौज-ए-रवाँ हूँ रंग-ए-हिना है मेरे साथ रफ़्ता-रफ़्ता शाम के साए गहरे होते जाते हैं धीरे-धीरे सारा मंज़र डूब रहा है मेरे साथ मैं तो समझता था कि मैं तन्हा लेटा हूँ आँखें खोले कोई और भी मेरे अन्दर जाग रहा है मेरे साथ वो जो मिरा क़ातिल था मुझ में उस को किस ने क़त्ल किया 'ज़ेब' मिरे ही ख़ून में लिथड़ा वो भी पड़ा है मेरे साथ

More by Zeb Ghauri
View all →"kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamkaa khalvat-e-husn kaa har gosha musalsal chamkaa jagmagaati rahi jalvon se tire bazm-e-nigaah kabhi gesu kabhi 'aariz kabhi aanchal chamkaa phuuT nikli kabhi honThon se koi shokh kiran kabhi palkon ki ghani chhaanv mein kaajal chamkaa sail-e-naghmaat mein shab teri sadaa kaa sho'la kabhi ojhal huaa ik pal kabhi ik pal chamkaa gesu-e-shab ke mahakte hue saae ke tale misl-e-aaina tiraa jism jhalaa-jhal chamkaa 'zeb' naghmon ke charaaghaan mein kise hosh thaa kal ik sitaara miri mizhgaan pe musalsal chamkaa"
"ik nazar mujh ko dekhtaa bhi nahin vo khafaa ho to kuchh gila bhi nahin kis qadar meri zaat hai tanhaa aur mujh se koi judaa bhi nahin bujhaa jaataa hai baar-baar charaagh tez kuchh is qadar havaa bhi nahin raaste mein paDi hai laash miri koi is samt dekhtaa bhi nahin saamne raaegaan 'adam kaa hai aur koi 'zeb' raasta bhi nahin"
"raah-guzar ke patthar paani lagne lage lutf-e-safar kyaa jab aasaani lagne lage arz-o-samaa ki gardish soch ke Dar jaaun paanv jamaa luun main vo ravaani lagne lage main ne jidhar bhi us ke havaale se dekhaa saare manzar us ki nishaani lagne lage ik ik harf itnaa dohraayaa phulon ne us ke rang-o-bu ki kahaani lagne lage ek kiran us ke aavezon se phuTi aur dariyaa saahil sab dhaani lagne lage jhaank kar us ki aankhon mein dekhun to mujhe kabhi bahaar kabhi viraani lagne lage kaise chhupaaun dil ke zakhmon ko us se aisi rafaaqat kyaa ki giraani lagne lage itni baasi nazron se mat dekh ki 'zeb' do din mein har chiiz puraani lagne lage"
"hai bahut taaq vo bedaad mein Dar hai ye bhi jaan salaamat na bachaa laaun khatar hai ye bhi dil ki lau phir usi Thahraao pe aa jaaegi ik zaraa der havaaon kaa asar hai ye bhi ju-e-paayaab-e-mohabbat mein javaahir mat DhunDh kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi justuju gauhar-e-maani ki ziyaan vaqt kaa hai kyaa parakhtaa hai unhein sarf-e-nazar hai ye bhi manzilein khatm huiin tark o taalluq ki tamaam ab kisi samt nikal jaa ki safar hai ye bhi ab salaamat kahaan rah paaegaa ye naqsh-e-vafaa kuchh lahu dil kaa bachaa le ki hunar hai ye bhi dasht o dar mein vahi surkhi vahi peDon pe chamak zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi aage chal ke to kaDe kos hain tanhaai ke aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhi kyaa hai main jis ke tajassus mein pareshaan bhi huun 'zeb' kuchh haath na aaegaa khabar hai ye bhi"
"bahaar kaun si tujh mein jamaal-e-yaar na thi mushaahida thaa tiraa sair-e-laala-zaar na thi mahakti zulfon se khoshe gulon ke chhuT gire kuchh aur jaise ki gunjaaish-e-bahaar na thi ham apne dil hi ko rote the lekin is ke liye jahaan mein kaun si shai thi jo be-qaraar na thi talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi jhukaa hai qadmon mein tere vo sar ki jis ke liye koi jagah bhi munaasib sivaae daar na thi na jaane 'zeb' dil-e-zaar kyuun taDap uTThaa havaa-e-subh thi khushbu-e-zulf-e-yaar na thi"