"kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamkaa khalvat-e-husn kaa har gosha musalsal chamkaa jagmagaati rahi jalvon se tire bazm-e-nigaah kabhi gesu kabhi 'aariz kabhi aanchal chamkaa phuuT nikli kabhi honThon se koi shokh kiran kabhi palkon ki ghani chhaanv mein kaajal chamkaa sail-e-naghmaat mein shab teri sadaa kaa sho'la kabhi ojhal huaa ik pal kabhi ik pal chamkaa gesu-e-shab ke mahakte hue saae ke tale misl-e-aaina tiraa jism jhalaa-jhal chamkaa 'zeb' naghmon ke charaaghaan mein kise hosh thaa kal ik sitaara miri mizhgaan pe musalsal chamkaa"
bahaar kaun si tujh mein jamaal-e-yaar na thi — Zeb Ghauri
"bahaar kaun si tujh mein jamaal-e-yaar na thi mushaahida thaa tiraa sair-e-laala-zaar na thi mahakti zulfon se khoshe gulon ke chhuT gire kuchh aur jaise ki gunjaaish-e-bahaar na thi ham apne dil hi ko rote the lekin is ke liye jahaan mein kaun si shai thi jo be-qaraar na thi talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi jhukaa hai qadmon mein tere vo sar ki jis ke liye koi jagah bhi munaasib sivaae daar na thi na jaane 'zeb' dil-e-zaar kyuun taDap uTThaa havaa-e-subh thi khushbu-e-zulf-e-yaar na thi"
بہار کون سی تجھ میں جمال یار نہ تھی مشاہدہ تھا ترا سیر لالہ زار نہ تھی مہکتی زلفوں سے خوشے گلوں کے چھوٹ گرے کچھ اور جیسے کہ گنجائش بہار نہ تھی ہم اپنے دل ہی کو روتے تھے لیکن اس کے لیے جہاں میں کون سی شے تھی جو بے قرار نہ تھی تلاش ایک بہانہ تھا خاک اڑانے کا پتہ چلا کہ ہمیں جستجوئے یار نہ تھی جھکا ہے قدموں میں تیرے وہ سر کہ جس کے لیے کوئی جگہ بھی مناسب سوائے دار نہ تھی نہ جانے زیبؔ دل زار کیوں تڑپ اٹھا ہوائے صبح تھی خوشبوئے زلف یار نہ تھی
बहार कौन सी तुझ में जमाल-ए-यार न थी मुशाहिदा था तिरा सैर-ए-लाला-ज़ार न थी महकती ज़ुल्फ़ों से ख़ोशे गुलों के छूट गिरे कुछ और जैसे कि गुंजाइश-ए-बहार न थी हम अपने दिल ही को रोते थे लेकिन इस के लिए जहाँ में कौन सी शय थी जो बे-क़रार न थी तलाश एक बहाना था ख़ाक उड़ाने का पता चला कि हमें जुस्तुजू-ए-यार न थी झुका है क़दमों में तेरे वो सर कि जिस के लिए कोई जगह भी मुनासिब सिवाए दार न थी न जाने 'ज़ेब' दिल-ए-ज़ार क्यूँ तड़प उट्ठा हवा-ए-सुब्ह थी ख़ुशबू-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार न थी

More by Zeb Ghauri
View all →"ik nazar mujh ko dekhtaa bhi nahin vo khafaa ho to kuchh gila bhi nahin kis qadar meri zaat hai tanhaa aur mujh se koi judaa bhi nahin bujhaa jaataa hai baar-baar charaagh tez kuchh is qadar havaa bhi nahin raaste mein paDi hai laash miri koi is samt dekhtaa bhi nahin saamne raaegaan 'adam kaa hai aur koi 'zeb' raasta bhi nahin"
"raah-guzar ke patthar paani lagne lage lutf-e-safar kyaa jab aasaani lagne lage arz-o-samaa ki gardish soch ke Dar jaaun paanv jamaa luun main vo ravaani lagne lage main ne jidhar bhi us ke havaale se dekhaa saare manzar us ki nishaani lagne lage ik ik harf itnaa dohraayaa phulon ne us ke rang-o-bu ki kahaani lagne lage ek kiran us ke aavezon se phuTi aur dariyaa saahil sab dhaani lagne lage jhaank kar us ki aankhon mein dekhun to mujhe kabhi bahaar kabhi viraani lagne lage kaise chhupaaun dil ke zakhmon ko us se aisi rafaaqat kyaa ki giraani lagne lage itni baasi nazron se mat dekh ki 'zeb' do din mein har chiiz puraani lagne lage"
"hai bahut taaq vo bedaad mein Dar hai ye bhi jaan salaamat na bachaa laaun khatar hai ye bhi dil ki lau phir usi Thahraao pe aa jaaegi ik zaraa der havaaon kaa asar hai ye bhi ju-e-paayaab-e-mohabbat mein javaahir mat DhunDh kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi justuju gauhar-e-maani ki ziyaan vaqt kaa hai kyaa parakhtaa hai unhein sarf-e-nazar hai ye bhi manzilein khatm huiin tark o taalluq ki tamaam ab kisi samt nikal jaa ki safar hai ye bhi ab salaamat kahaan rah paaegaa ye naqsh-e-vafaa kuchh lahu dil kaa bachaa le ki hunar hai ye bhi dasht o dar mein vahi surkhi vahi peDon pe chamak zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi aage chal ke to kaDe kos hain tanhaai ke aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhi kyaa hai main jis ke tajassus mein pareshaan bhi huun 'zeb' kuchh haath na aaegaa khabar hai ye bhi"
"jhuke hue peDon ke tanon par chhaap hai chanchal dhaare ki haule haule Dol rahi hai ghaas nadi ke kinaare ki kasi hui mirdang saa paani havaa ki thaap se bajtaa hai lahar tarang se uThti hai jhankaar kisi ektaare ki khuli fazaa mein nikle to zang-e-yaksaani duur huaa ek havaa ke jhonke ne rangat badli angaare ki abr ki tah mein bijli chamki us kaa tabassum thaa magar aur lafzon mein pahchaan na paae thi jo baat ishaare ki dekh rahaa huun band khudaa ki muTThi hone vaali hai subh ke moti par ab bhi hai dhimi aanch sitaare ki sakht chaTaanein shisha paani gul-buTe sab zaaea the sang-o-shajar ko maani de gai taan kisi banjaare ki"
"koi ghaTaa baalaa-e-baam si lagti hai shaam nahin hai lekin shaam si lagti hai dekhte hi aankhon mein aa jaataa hai surur hinaa tire haathon mein jaam si lagti hai mausam-e-gul bhi baad-e-sabaa bhi hai lekin nikhat-e-gesu mere naam si lagti hai ab main is ko kis gham se taa'bir karun ye shab bhi mujh ko be-naam si lagti hai 'ajab asiri 'ajab hai ye aazaadi bhi khuli fazaa hai lekin daam si lagti hai 'zeb' kivaaDein jab barson ke baa'd khulein taaza havaa bhi ik in'aam si lagti hai"
More on Intezaar
View all →"pahaaD jo khaDaa huaa thaa khvaab-saa khayaal saa bikhar gayaa hai raaste mein gard-e-maah-o-saal saa nazar kaa farq kahiye is ko hijr hai visaal saa uruuj kah rahe hain jis ko hai vahi zavaal saa tumhaaraa lafz sach kaa saath de sakaa na duur tak misaal jis ki de rahe ho hai vo be-misaal saa khulus ke hiran ko DhunD kar riyaa ke shahr mein mire aziiz kar rahe ho tum ajab kamaal saa adaavaton ki mauj jis zamin pe bo gai namak ugegaa sabza-zaar us jagah ye hai muhaal saa shab-e-visaal aaine mein paD gayaa shigaaf kyun? hamaaraa dil to saaf hai tumhein hai kyuun malaal saa 'karaamat'-e-hazin faraar ho ke haal-e-zaar se guzishta ahd se milaa to vo lagaa hai haal saa"
"dil hai tire pyaar karne kuun ji hai tujh par nisaar karne kuun ik lahr lutf ki hamein bas hai gham ke dariyaa suun paar karne kuun chashm meri hai abr-e-nisaani girya-e-zaar-zaar karne kuun chashm niin anjhuvaan ki basti ki zulm teraa shumaar karne kuun rashk siin jab koi chhue vo zulf dil uThe maar maar karne kuun is adaa suun laTak laTak mat aa dil miraa be-qaraar karne kuun naanv kuun garche tu mamulaa hai baaz hai dil shikaar karne kuun kyaa karun kis se jaa lagaaun ghaat 'aabru' us ke yaar karne kuun"
"dil ko sabr-o-qaraar bhi na huaa jabr par ikhtiyaar bhi na huaa laala har chand baagh mein phulaa gul-rukhon mein shumaar bhi na huaa mar miTe fikr mein uruuj ke ham khaak unchaa ghubaar bhi na huaa rah gayaa tir-e-yaar pahlu mein kyaa sitam hai ki paar bhi na huaa khuun se mere daaman-e-qaatil takhta-e-laala-zaar bhi na huaa mai se mujh ko khumaar bhi na huaa nashsha kaisaa utaar bhi na huaa asar-e-chashm-e-zaar bhi na huaa saaf un kaa ghubaar bhi na huaa ek bose ko to ginaa sau baar gaaliyon kaa shumaar bhi na huaa un ki rusvaaiyon kaa paas rahaa main kabhi ashk-baar bhi na huaa sarv ne sar-kashi se kyaa paayaa shajar-e-meva-daar bhi na huaa"
"chaman mein phulon kaa daamaan-e-taar-taar bhi dekh bahaar dekh chukaa haasil-e-bahaar bhi dekh asir-e-subh-e-tarab shaam-e-sogvaar bhi dekh guzarte lamhon kaa ik aur shaahkaar bhi dekh mah-o-nujum ke jalvon se khelne vaale fazaa mein phailaa huaa rang-e-intishaar bhi dekh tire khayaal se aage tiri nazar se pare jo pal rahe hain vo lamhaat-e-khalfishaar bhi dekh nikal ke marmarin mahlon ke sard-khaanon se tapaa tapaa saa gharibon kaa reg-zaar bhi dekh bahaar ghuncha-o-gul se nazar haTaa ke zaraa sisakti qaum ke zakhmon kaa laala-zaar bhi dekh ba-naam-e-amn liye aslahon ke daaman se jo uTh rahaa hai vo tufaan-e-shoala-baar bhi dekh lahu lahu hai jahaan jism-e-aashti 'ahmar' sitam-rasidon kaa vo khun-chakaan dayaar bhi dekh"
"giraft-e-zist mein huun qaid-e-be-hisaar mein huun azaab-e-arsa-gah-e-jabr-o-ikhtiyaar mein huun khayaal hai to abhi DhunDh phir milun na milun abhi main tere uDaae hue ghubaar mein huun bhaDak rahaa hai badan ruuh ko khabar bhi nahin ye kyaa maqaam hai ye kaise shoala-zaar mein huun main kaun huun tire nazdik ye savaal nahin hubaab huun ki sadaf bahar-e-be-kanaar mein huun khud apne aap se har dam huun barsar-e-paikaar main apni zaat ke maidaan-e-kaar-zaar mein huun mein bhed kyaa tujhe duun be-karaan khalaaon ke ki main azal se isi halqa-e-madaar mein huun talaash kis ki hai mujh ko abhi ye kyaa sochun 'bashir' abhi to main apne hi intizaar mein huun"
"vo sanam jo mehr-ezaar hai use ham se milne mein aar hai vale apnaa jo dil-e-zaar hai vo hazaar jaan se nisaar hai mile jab se kuche mein us ke jaa ye surur-e-aish hai barmalaa lab-e-dil hai aur vo naqsh-e-paa bar-e-jaan hai aur dar-e-yaar hai vo nigah jo us ki hai fitna-gar use mashq-e-said hai pesh-tar hai jo dil kaa taair-e-tez-par usi baaz kaa ye shikaar hai vo mizha lagaa ke jo ek sinaan gai phir to kar na dil ab fughaan kai aise hoveinge imtihaan ye abhi to pahlaa hi vaar hai jo bahaar gul pe rahi hai tul hamein kyaa jo husn ki pi hai mul jinhein chaahiye hai vo rashk-e-gul unhein gul se kyaa sarokaar hai jo buton ko devein dil aur diin rakhein us ko ye ba-alam qarin bhalaa kahiye kyaa use ham-nashin ye ajab kuchh un kaa shiaar hai kai din hue hain 'nazir' ab ki khafaa hai ham se vo ghuncha-lab use kyaa vale hamein roz-o-shab na to sabr hai na qaraar hai"