SHAWORDS

hisaar-e-jism miraa toD-phoD Daalegaa — Ghulam Murtaza Rahi

"hisaar-e-jism miraa toD-phoD Daalegaa zarur koi mujhe qaid se chhuDaa legaa banaa ke jis ne mujhe shaahkaar pesh kiyaa hazaar khaamiyaan mujh mein vahi nikaalegaa main apni jaan hatheli pe rakh ke chaltaa huun koi bahut se bahut mujh se aur kyaa legaa ruke hue hain kai kaarvaan lab-e-dariyaa ki jaise aage koi raasta nikaalegaa ik ajnabi ke lahu par thaa sab kaa haq 'raahi' sunaa hai shahr kaa har shakhs khun-bahaa legaa"
Urdu

حصار جسم مرا توڑ پھوڑ ڈالے گا ضرور کوئی مجھے قید سے چھڑا لے گا بنا کے جس نے مجھے شاہکار پیش کیا ہزار خامیاں مجھ میں وہی نکالے گا میں اپنی جان ہتھیلی پہ رکھ کے چلتا ہوں کوئی بہت سے بہت مجھ سے اور کیا لے گا رکے ہوئے ہیں کئی کارواں لب دریا کہ جیسے آگے کوئی راستہ نکالے گا اک اجنبی کے لہو پر تھا سب کا حق راہیؔ سنا ہے شہر کا ہر شخص خوں بہا لے گا

Hindi

हिसार-ए-जिस्म मिरा तोड़-फोड़ डालेगा ज़रूर कोई मुझे क़ैद से छुड़ा लेगा बना के जिस ने मुझे शाहकार पेश किया हज़ार ख़ामियाँ मुझ में वही निकालेगा मैं अपनी जान हथेली पे रख के चलता हूँ कोई बहुत से बहुत मुझ से और क्या लेगा रुके हुए हैं कई कारवाँ लब-ए-दरिया कि जैसे आगे कोई रास्ता निकालेगा इक अजनबी के लहू पर था सब का हक़ 'राही' सुना है शहर का हर शख़्स ख़ूँ-बहा लेगा

hisār-e-jism mirā toḌ-phoḌ Dālegā
Ghulam Murtaza Rahi
Ghulam Murtaza Rahi
Ghulam Murtaza Rahi
poet87 quotes

More by Ghulam Murtaza Rahi

View all →
Quote
"baDhaa jab us ki tavajjoh kaa silsila kuchh aur khushi se phail gayaa gham kaa daaera kuchh aur natija dekh ke maanaa mire masihaa ne kuchh aur dard thaa meraa hui davaa kuchh aur main apne aap ko kis aaine mein pahchaanun ki ek 'aks miraa kuchh hai dusraa kuchh aur agar kahin koi divaar saamne aai buland ho gayaa paani kaa hausla kuchh aur kuchh aise dekhtaa hai vo mujhe ki lagtaa hai dikhaa rahaa hai mujhe meraa aaina kuchh aur natija dekhne sunne ke baa'd ye niklaa bayaan-e-vaaqia kuchh amr-e-vaaqia kuchh aur guzar muhaal na hotaa hamaaraa basti mein jo uThtin chhoD ke divaarein raasta kuchh aur"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"nahin hai bahr-o-bar mein aisaa mere yaar koi ki jis khitte kaa miltaa ho na daavedaar koi yunhi buniyaad kaa darja nahin miltaa kisi ko khaDi ki jaaegi mujh par abhi divaar koi pataa chalne nahin detaa kabhi fariyaadiyon ko lagaa kar baiTh jaataa hai kahin darbaar koi nigaahein us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi bachaataa phirtaa huun dariyaa mein apni kashti-e-jaan kabhi is paar hai koi bhi us paar koi usi kaa qahr barpaa hai usi kaa faiz jaari har ik majbur kaa hai maalik-o-mukhtaar koi kahlvaayaa hai us ne phaand kar divaar aa jaanaa agar darvaaze par baiThaa ho pahre-daar koi"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"Thahar Thahar ke miraa intizaar kartaa chal ye sakht-raah bhi ab ikhtiyaar kartaa chal safar ki raat hai har gaam ehtiyaat barat palaT palaT ke andheron pe vaar kartaa chal liye jaa kaam tu apni firaakh-dasti se qadam qadam pe mujhe zer-e-baar kartaa chal idhar udhar jo khaDe ho gae hain tere liye unhein bhi apne safar mein shumaar kartaa chal kisi Thikaane pe tujh ko agar pahunchnaa hai to naqsh-e-paa kaa mire e'tibaar kartaa chal na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko ye sab rukaavaTein hain in ko paar kartaa chal"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"main ye dekh ke bhi rukaa nahin ki ghubaar thaa mujhe raaste kaa pata nahin ki ghubaar thaa vo hujum saa jo umaD paDaa thaa mire liye mujhe dekhne ko milaa nahin ki ghubaar thaa miri rif’atein mujhe yak-ba-yak na samajh sakin kahin munkashif main huaa nahin ki ghubaar thaa mire saae ko na darakht the na ‘imaaratein mujhe aasmaan kaa pata nahin ki ghubaar thaa kai baar mere qarib se vo guzar gayaa mujhe phir bhi koi gila nahin ki ghubaar thaa kabhi paanv rakkhaa to phunk kar ki na uTh sake kabhi tole par to uDaa nahin ki ghubaar thaa mujhe Thokaron ne giraa diyaa to pata chalaa koi saamne se haTaa nahin ki ghubaar thaa"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi