SHAWORDS

mauja-e-gham mein ravaani bhi to ho — Zeb Ghauri

HomeZeb GhauriGhazal
"mauja-e-gham mein ravaani bhi to ho kuchh jigar kaa khun-paani bhi to ho ranj surat ke badal jaane kaa kyaa koi shai duniyaa ki faani bhi to ho gham mein rafta rafta masti aaegi kuchh dinon ye mai puraani bhi to ho kijiyegaa sun ke kyaa rudaad-e-gham kyaa kahun koi kahaani bhi to ho kyaa taqaabul meri jaulaani se 'zeb' koi dariyaa mein ravaani bhi to ho"
Urdu

موجۂ غم میں روانی بھی تو ہو کچھ جگر کا خون پانی بھی تو ہو رنج صورت کے بدل جانے کا کیا کوئی شے دنیا کی فانی بھی تو ہو غم میں رفتہ رفتہ مستی آئے گی کچھ دنوں یہ مے پرانی بھی تو ہو کیجئے گا سن کے کیا روداد غم کیا کہوں کوئی کہانی بھی تو ہو کیا تقابل میری جولانی سے زیبؔ کوئی دریا میں روانی بھی تو ہو

Hindi

मौजा-ए-ग़म में रवानी भी तो हो कुछ जिगर का ख़ून-पानी भी तो हो रंज सूरत के बदल जाने का क्या कोई शय दुनिया की फ़ानी भी तो हो ग़म में रफ़्ता रफ़्ता मस्ती आएगी कुछ दिनों ये मय पुरानी भी तो हो कीजिएगा सुन के क्या रूदाद-ए-ग़म क्या कहूँ कोई कहानी भी तो हो क्या तक़ाबुल मेरी जौलानी से 'ज़ेब' कोई दरिया में रवानी भी तो हो

mauja-e-ġham meñ ravānī bhī to ho
Zeb Ghauri
Zeb Ghauri
Zeb Ghauri
poet150 quotes

More by Zeb Ghauri

View all →
Quote
"koi ghaTaa baalaa-e-baam si lagti hai shaam nahin hai lekin shaam si lagti hai dekhte hi aankhon mein aa jaataa hai surur hinaa tire haathon mein jaam si lagti hai mausam-e-gul bhi baad-e-sabaa bhi hai lekin nikhat-e-gesu mere naam si lagti hai ab main is ko kis gham se taa'bir karun ye shab bhi mujh ko be-naam si lagti hai 'ajab asiri 'ajab hai ye aazaadi bhi khuli fazaa hai lekin daam si lagti hai 'zeb' kivaaDein jab barson ke baa'd khulein taaza havaa bhi ik in'aam si lagti hai"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamkaa khalvat-e-husn kaa har gosha musalsal chamkaa jagmagaati rahi jalvon se tire bazm-e-nigaah kabhi gesu kabhi 'aariz kabhi aanchal chamkaa phuuT nikli kabhi honThon se koi shokh kiran kabhi palkon ki ghani chhaanv mein kaajal chamkaa sail-e-naghmaat mein shab teri sadaa kaa sho'la kabhi ojhal huaa ik pal kabhi ik pal chamkaa gesu-e-shab ke mahakte hue saae ke tale misl-e-aaina tiraa jism jhalaa-jhal chamkaa 'zeb' naghmon ke charaaghaan mein kise hosh thaa kal ik sitaara miri mizhgaan pe musalsal chamkaa"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"raah-guzar ke patthar paani lagne lage lutf-e-safar kyaa jab aasaani lagne lage arz-o-samaa ki gardish soch ke Dar jaaun paanv jamaa luun main vo ravaani lagne lage main ne jidhar bhi us ke havaale se dekhaa saare manzar us ki nishaani lagne lage ik ik harf itnaa dohraayaa phulon ne us ke rang-o-bu ki kahaani lagne lage ek kiran us ke aavezon se phuTi aur dariyaa saahil sab dhaani lagne lage jhaank kar us ki aankhon mein dekhun to mujhe kabhi bahaar kabhi viraani lagne lage kaise chhupaaun dil ke zakhmon ko us se aisi rafaaqat kyaa ki giraani lagne lage itni baasi nazron se mat dekh ki 'zeb' do din mein har chiiz puraani lagne lage"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"hai bahut taaq vo bedaad mein Dar hai ye bhi jaan salaamat na bachaa laaun khatar hai ye bhi dil ki lau phir usi Thahraao pe aa jaaegi ik zaraa der havaaon kaa asar hai ye bhi ju-e-paayaab-e-mohabbat mein javaahir mat DhunDh kisi patthar ko samajh le ki guhar hai ye bhi justuju gauhar-e-maani ki ziyaan vaqt kaa hai kyaa parakhtaa hai unhein sarf-e-nazar hai ye bhi manzilein khatm huiin tark o taalluq ki tamaam ab kisi samt nikal jaa ki safar hai ye bhi ab salaamat kahaan rah paaegaa ye naqsh-e-vafaa kuchh lahu dil kaa bachaa le ki hunar hai ye bhi dasht o dar mein vahi surkhi vahi peDon pe chamak zard phulon ko na dekho to sahar hai ye bhi aage chal ke to kaDe kos hain tanhaai ke aur kuchh duur talak lutf-e-safar hai ye bhi kyaa hai main jis ke tajassus mein pareshaan bhi huun 'zeb' kuchh haath na aaegaa khabar hai ye bhi"
Zeb GhauriZeb Ghauri
Quote
"bahaar kaun si tujh mein jamaal-e-yaar na thi mushaahida thaa tiraa sair-e-laala-zaar na thi mahakti zulfon se khoshe gulon ke chhuT gire kuchh aur jaise ki gunjaaish-e-bahaar na thi ham apne dil hi ko rote the lekin is ke liye jahaan mein kaun si shai thi jo be-qaraar na thi talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi jhukaa hai qadmon mein tere vo sar ki jis ke liye koi jagah bhi munaasib sivaae daar na thi na jaane 'zeb' dil-e-zaar kyuun taDap uTThaa havaa-e-subh thi khushbu-e-zulf-e-yaar na thi"
Zeb GhauriZeb Ghauri