SHAWORDS

mere aangan ko mahkaa do — Khalilur Rahman Azmi

"mere aangan ko mahkaa do phir ji chaahe mujh ko bhulaa do o raste ke chalte raahi main bhi chalungaa mujh ko du'aa do o ji ko le jaane vaalo phir mujh ko jiine ki sazaa do meri dharti bahut hai pyaasi baadal ban kar ras barsaa do soyaa soyaa saa lagtaa hai mujh ko chheDo mujh ko jagaa do mujh ko niind nahin aati hai apni chaadar mujhe uDhaa do chhoTi sohbatein lambi shaamein aao in kaa farq miTaa do mere sangi mere saathi duur paDe hain un se milaa do"
Urdu

میرے آنگن کو مہکا دو پھر جی چاہے مجھ کو بھلا دو او رستے کے چلتے راہی میں بھی چلوں گا مجھ کو دعا دو او جی کو لے جانے والو پھر مجھ کو جینے کی سزا دو میری دھرتی بہت ہے پیاسی بادل بن کر رس برسا دو سویا سویا سا لگتا ہے مجھ کو چھیڑو مجھ کو جگا دو مجھ کو نیند نہیں آتی ہے اپنی چادر مجھے اڑھا دو چھوٹی صحبتیں لمبی شامیں آؤ ان کا فرق مٹا دو میرے سنگی میرے ساتھی دور پڑے ہیں ان سے ملا دو

Hindi

मेरे आँगन को महका दो फिर जी चाहे मुझ को भुला दो ओ रस्ते के चलते राही मैं भी चलूँगा मुझ को दु'आ दो ओ जी को ले जाने वालो फिर मुझ को जीने की सज़ा दो मेरी धरती बहुत है प्यासी बादल बन कर रस बरसा दो सोया सोया सा लगता है मुझ को छेड़ो मुझ को जगा दो मुझ को नींद नहीं आती है अपनी चादर मुझे उढ़ा दो छोटी सोहबतें लम्बी शामें आओ इन का फ़र्क़ मिटा दो मेरे संगी मेरे साथी दूर पड़े हैं उन से मिला दो

mere āñgan ko mahkā do
Khalilur Rahman Azmi
Khalilur Rahman Azmi
Khalilur Rahman Azmi
poet119 quotes

More by Khalilur Rahman Azmi

View all →
Quote
"tumhaare paas ik vahshi ne ye paighaam bhejaa hai ki ab hijraan-nashibon ko bhulaa denaa hi achchhaa hai junun mein yuun to kuchh apni khabar milti nahin ham ko ki aisaa naam hai jis par abhi tak dil dhaDaktaa hai ye maanaa sakht hai ye vaadi-e-ghurbat ki tanhaai mujhe rahne de ai hamdam yahin ab ji bahaltaa hai dil-e-naadaan ko raas aai tumhaari kaj-adaai bhi tumhaari bevafaai mein bhi ik aalam nikaltaa hai yaqin aa kar dilaate hain mujhe ye qaafile vaale zaraa kuchh aur aage kucha-e-jaanaan kaa rastaa hai"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"jaltaa nahin aur jal rahaa huun kis aag mein main pighal rahaa huun mafluj hain haath paanv mere phir zehn mein kyuun ye chal rahaa huun ik buund nahin lahu ki baaqi kis baat pe main machal rahaa huun tum jhuuT ye kah rahe ho mujh se main bhi kabhi be-badal rahaa huun kyuun mujh se hue gunaah sarzad kahne ko to be-'amal rahaa huun raai kaa banaa ke ek parbat ab us pe yunhi phisal rahaa huun kis haath se haath main milaaun ab apne hi haath mal rahaa huun kyuun aaina baar baar dekhun main aaj nahin jo kal rahaa huun ab kaun saa dar rahaa hai baaqi is dar se main kyuun nikal rahaa huun qadmon ke tale to kuchh nahin hai kis chiiz ko main kuchal rahaa huun ab koi nahin rahaa sahaaraa main aaj phir se sanbhal rahaa huun main kyuun karun aasmaan ki khvaahish ab tak to zamin pe chal rahaa huun ye barf haTaao mere sar se main aaj kuchh aur jal rahaa huun mujh ko na pilaao koi paani pyaason ke main saath chal rahaa huun khaane ki nahin rahi talab kuchh ab bhuuk ke bal pe pal rahaa huun"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"soi hai kali dil ki us ko bhi jagaa jaanaa is raah se bhi ho kar ai baad-e-sabaa jaanaa ham bhulte jaate hain us chehra-e-zebaa ko ai khvaab zaraa us ki surat to dikhaa jaanaa jab mausam-e-gul aae ai nikhat-e-aavaara aa kar dar-e-zindaan ki zanjir hilaa jaanaa phir haath chhuDaati hai mujh se miri tanhaai phir dil ke sanbhalne ke andaaz bataa jaanaa kis naaz se paalaa hai ham ne gham-e-hijraan ko us gham ko zaraa aa kar siine se lagaa jaanaa auron ke liye yuun to ik sang-e-garaan ham hain haan tum jo kabhi chaaho miTTi mein milaa jaanaa aankhon se bhi ab dil ki rudaad nahin kahte ab ham se koi sikhe har bhed chhupaa jaanaa apne hi kharaabe mein ham 'umr guzaareinge jab tum ko mile fursat ye ghar bhi basaa jaanaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"jab kabhi aayaa to zikr-e-mai-e-gulfaam aayaa kufr aayaa tire rindon ko na islaam aayaa phir kahaan bhaag ke jaaeinge ye tere vahshi gar tiri zulf ke saae mein na aaraam aayaa ham to barbaad the barbaad hi honaa thaa hamein kyon tiri chashm-e-'inaayat pe ye ilzaam aayaa si liye honTh ki andesha-e-rusvaai thaa phir bhi har saans mein chhup-chhup ke tiraa naam aayaa baat to jab hai bane aaj koi meraa harif 'ishq mein jaan ganvaa dene kaa hangaam aayaa mai-kade se jo chale daar-o-rasan tak pahunche aaj ye pi ke bahaknaa bhi bahut kaam aayaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi
Quote
"ye alag baat ki har samt se patthar aayaa sar-bulandi kaa bhi ilzaam mire sar aayaa zindagi chhoD ne aai mujhe darvaaze tak raat ke pichhle pahar main jo kabhi ghar aayaa bas duaa hai ki ilaahi ye koi khvaab na ho koi saaya mire saae ke baraabar aayaa baarhaa sochaa ki ai kaash na aankhein hotin baarhaa saamne aankhon ke vo manzar aayaa kyaa kahein ab to ye aadat nahin jaati ham se jhuuT bhi bole to sach ban ke zabaan par aayaa main nahin haq mein zamaane ko buraa kahne ke ab ke main khaa ke zamaane ki jo Thokar aayaa surkhi-e-mai bhi Thaharti nahin har chehre par bul-havas bhi usi mai-khaane se ho kar aayaa"
Khalilur Rahman AzmiKhalilur Rahman Azmi