SHAWORDS

mohtasib se salaah kijiyegaa — Qayem Chaandpuri

"mohtasib se salaah kijiyegaa mai ko chande mubaah kijiyegaa naama-bar mil rahaa hai ghair ke saath khat mein kuchh istilaah kijiyegaa dukhtar-e-raz ko di talaaq par ab mughbachon se nikaah kijiyegaa subh kaa kaam shaam par to rakhaa shaam bolaa sabaah kijiyegaa gar yahi Dol hai to kab 'qaaem' saaz-o-barg-e-falaah kijiyegaa"
Urdu

محتسب سے صلاح کیجئے گا مے کو چندے مباح کیجئے گا نامہ بر مل رہا ہے غیر کے ساتھ خط میں کچھ اصطلاح کیجئے گا دختر رز کو دی طلاق پر اب مغبچوں سے نکاح کیجئے گا صبح کا کام شام پر تو رکھا شام بولا صباح کیجئے گا گر یہی ڈول ہے تو کب قائمؔ ساز و برگ فلاح کیجئے گا

Hindi

मोहतसिब से सलाह कीजिएगा मय को चंदे मुबाह कीजिएगा नामा-बर मिल रहा है ग़ैर के साथ ख़त में कुछ इस्तिलाह कीजिएगा दुख़्तर-ए-रज़ को दी तलाक़ पर अब मुग़्बचों से निकाह कीजिएगा सुब्ह का काम शाम पर तो रखा शाम बोला सबाह कीजिएगा गर यही डोल है तो कब 'क़ाएम' साज़-ओ-बर्ग-ए-फ़लाह कीजिएगा

mohtasib se salāh kījiyegā
Q
Qayem Chaandpuri
Qayem Chaandpuri
poet142 quotes

More by Qayem Chaandpuri

View all →
Quote
"maalum kuchh huaa hi na dil kaa asar kahin aisaa gayaa ki pher na paai khabar kahin aalam mein hain asiir mohabbat ke har kahin lekin sitam kisu pe nahin is qadar kahin kholi thi chashm-did ko teri pa juun hubaab apne taiin main aap na aayaa nazar kahin juun ghuncha fikr jama na kar Tuk tu gul ko dekh qismat ki kho sake hai pareshaani zar kahin rahne do meri naash ko ho jaae taa-ghubaar le jaaegi uDaa ke nasim-e-sahar kahin masraf hai sab ye baalish-e-sayyaad kaa tire bismil na bhariyo khuun se tu baal-o-par kahin roti hai kyaa gulon ko tu shabnam idhar to dekh TukDe hai is tarah se kisi kaa jigar kahin kartaa thaa kal gali mein vo apni khiraam-e-naaz is mein jo aa ke paDti hai mujh par nazar kahin kahne lagaa ye dekh ke ahvaal ko mire bad-naam tu kisi ke taiin yaan na kar kahin kyaa hattiyaa tujhe yahin deni hai ai aziiz itnaa paDaa hai mulk-e-khudaa jaa ke mar kahin 'qaaem' ye faiz-e-sohbat-e-'saudaa' hai varna main tarhi ghazal se 'mir' ki aataa thaa bar kahin"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"dil paa ke us ki zulf mein aaraam rah gayaa darvesh jis jagah ki hui shaam rah gayaa jhagDe mein ham mabaadi ke yaan tak phanse ki aah maqsud thaa jo apne taiin kaam rah gayaa naa-pokhtagi kaa apni sabab us samar se puchh jaldi se baaghbaan ki vo jo khaam rah gayaa sayyaad tu to jaa, hai par us ki bhi kuchh khabar jo murgh-e-naa-tavaan ki tah-e-daam rah gayaa qismat to dekh TuuTi hai jaa kar kahaan kamand kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa maarein hain ham nagin-e-sulaimaan ko pusht-e-dast jab miT gayaa nishaan to go naam rah gayaa ne tujh pe vo bahaar rahi aur na yaan vo dil kahne ko nek-o-bad ke ik ilzaam rah gayaa mauquf kuchh kamaal pe yaan kaam-e-dil nahin mujh ko hi dekh lenaa ki naakaam rah gayaa 'qaaem' gae sab us ki zabaan se jo the rafiq ik be-hayaa main khaane ko dushnaam rah gayaa"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"chhoD maavaa-e-zaqan zulf-e-pareshaan mein phansaa misl-e-yusuf main nikal chaah se zindaan mein phansaa sail-e-ashk aaj ruki aankh se girte hi magar phir kai lakht-e-jigar dida-e-giryaan mein phansaa kuchh bhi vaqfa ho to gulshan se le aaein sayyaad rah gayaa hai dil-e-gham-kash gul o raihaan mein phansaa khinch daaman rakhein ham yaar ko kis tarah ki haath ek to dil pe hai aur ek garebaan mein phansaa ai ki chaahe hai tu divaan ko 'qaaem' ke to dekh kahin hogaa kisi khummaar ki dukkaan mein phansaa"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"taa-chand sukhan-saazi-e-nairang-e-kharaabaat yaan qasd-e-kharaabi hai na aahang-e-kharaabaat aa dil mein ki is dar pe jo baiThaa hai phir un ne farsakh gine kaaba ke na farsang-e-kharaabaat dekhein to tiri dhuum Tuk ai shorish-e-masti phir aaj sar o siina hai aur sang-e-kharaabaat tashbih main jis dil ko na di kaaba se so dil ab ishq-e-mai-o-mugh se hai ham-rang-e-kharaabaat ai ghuncha-dahan bas lab-e-mai-gun ko tanik muund dil tang kahaan tak ho dil-e-tang-e-kharaabaat sau sar kaa jo ho aae to maqbul nahin yaan khaai nahin jis rind ne sarchang-e-kharaabaat kis naam se 'qaaem' main tujhe kah tu pukaarun ai aar-e-dar-e-masjid o ai nang-e-kharaabaat"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"juun ibrat-e-kor jalva-gar huun albatta kuchh huun main par kidhar huun juun shisha bharaa huun mai se lekin masti se main apni be-khabar huun jo kahiye so yaan se hai farautar kyaa jaane main kis maqaam par huun ai sabr tanik tu rah ki tujh se do-chaar qadam main peshtar huun chal daaman o aastin tujhe kyaa lab-khushk huun yaa main chashm-tar huun ai bakht-e-said teri daulat ik yumn-e-qadam se huun jidhar huun parvaane ki shab ki shaam huun main yaa roz ki shama ki sahar huun ji maange hai khush-dili ko 'qaaem' tu baiTh ke ro main nauhagar huun"
Q
Qayem Chaandpuri
Quote
"yunhi ranjish ho aur gilaa bhi yunhi ho je har baat par khafaa bhi yunhi kuchh na ham ko hi bhaa gayaa ye taur vaaqai ye ki hai mazaa bhi yunhi said-e-kanjashk se na haath uThaa aa ke phans jaae hai humaa bhi yunhi juun ujaaDaa tu ghar miraa ai ishq khaana viraan ho tiraa bhi yunhi kyuun na rouun main dekh khanda-e-gul ki hanse thaa vo bevafaa bhi yunhi ab talak meri ziist ne ki vafaa bas main dekhi tiri jafaa bhi yunhi mas-e-dil ko diyaa kar apne gudaaz haath chaDh jaa hai kimiyaa bhi yunhi ye kahaan aur vo gul kidhar 'qaaem' ik havaa baandhe hai sabaa bhi yunhi"
Q
Qayem Chaandpuri