SHAWORDS

peD agar unchaa miltaa hai — Ghulam Murtaza Rahi

"peD agar unchaa miltaa hai mushkil se saaya miltaa hai mehnat se paisa miltaa hai jaise ko taisaa miltaa hai dariyaa ke riste saagar se qatra qatra jaa miltaa hai sahraa jangal saagar parbat in se hi rasta miltaa hai baiThe baiThe ghumne vaalaa duniyaa kaa naqsha miltaa hai"
Urdu

پیڑ اگر اونچا ملتا ہے مشکل سے سایہ ملتا ہے محنت سے پیسہ ملتا ہے جیسے کو تیسا ملتا ہے دریا کے رستے ساگر سے قطرہ قطرہ جا ملتا ہے صحرا جنگل ساگر پربت ان سے ہی رستہ ملتا ہے بیٹھے بیٹھے گھومنے والا دنیا کا نقشہ ملتا ہے

Hindi

पेड़ अगर ऊँचा मिलता है मुश्किल से साया मिलता है मेहनत से पैसा मिलता है जैसे को तैसा मिलता है दरिया के रिसते सागर से क़तरा क़तरा जा मिलता है सहरा जंगल सागर पर्बत इन से ही रस्ता मिलता है बैठे बैठे घूमने वाला दुनिया का नक़्शा मिलता है

peḌ agar ūñchā miltā hai
Ghulam Murtaza Rahi
Ghulam Murtaza Rahi
Ghulam Murtaza Rahi
poet87 quotes

More by Ghulam Murtaza Rahi

View all →
Quote
"baDhaa jab us ki tavajjoh kaa silsila kuchh aur khushi se phail gayaa gham kaa daaera kuchh aur natija dekh ke maanaa mire masihaa ne kuchh aur dard thaa meraa hui davaa kuchh aur main apne aap ko kis aaine mein pahchaanun ki ek 'aks miraa kuchh hai dusraa kuchh aur agar kahin koi divaar saamne aai buland ho gayaa paani kaa hausla kuchh aur kuchh aise dekhtaa hai vo mujhe ki lagtaa hai dikhaa rahaa hai mujhe meraa aaina kuchh aur natija dekhne sunne ke baa'd ye niklaa bayaan-e-vaaqia kuchh amr-e-vaaqia kuchh aur guzar muhaal na hotaa hamaaraa basti mein jo uThtin chhoD ke divaarein raasta kuchh aur"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"nahin hai bahr-o-bar mein aisaa mere yaar koi ki jis khitte kaa miltaa ho na daavedaar koi yunhi buniyaad kaa darja nahin miltaa kisi ko khaDi ki jaaegi mujh par abhi divaar koi pataa chalne nahin detaa kabhi fariyaadiyon ko lagaa kar baiTh jaataa hai kahin darbaar koi nigaahein us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi bachaataa phirtaa huun dariyaa mein apni kashti-e-jaan kabhi is paar hai koi bhi us paar koi usi kaa qahr barpaa hai usi kaa faiz jaari har ik majbur kaa hai maalik-o-mukhtaar koi kahlvaayaa hai us ne phaand kar divaar aa jaanaa agar darvaaze par baiThaa ho pahre-daar koi"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"Thahar Thahar ke miraa intizaar kartaa chal ye sakht-raah bhi ab ikhtiyaar kartaa chal safar ki raat hai har gaam ehtiyaat barat palaT palaT ke andheron pe vaar kartaa chal liye jaa kaam tu apni firaakh-dasti se qadam qadam pe mujhe zer-e-baar kartaa chal idhar udhar jo khaDe ho gae hain tere liye unhein bhi apne safar mein shumaar kartaa chal kisi Thikaane pe tujh ko agar pahunchnaa hai to naqsh-e-paa kaa mire e'tibaar kartaa chal na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko ye sab rukaavaTein hain in ko paar kartaa chal"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi
Quote
"main ye dekh ke bhi rukaa nahin ki ghubaar thaa mujhe raaste kaa pata nahin ki ghubaar thaa vo hujum saa jo umaD paDaa thaa mire liye mujhe dekhne ko milaa nahin ki ghubaar thaa miri rif’atein mujhe yak-ba-yak na samajh sakin kahin munkashif main huaa nahin ki ghubaar thaa mire saae ko na darakht the na ‘imaaratein mujhe aasmaan kaa pata nahin ki ghubaar thaa kai baar mere qarib se vo guzar gayaa mujhe phir bhi koi gila nahin ki ghubaar thaa kabhi paanv rakkhaa to phunk kar ki na uTh sake kabhi tole par to uDaa nahin ki ghubaar thaa mujhe Thokaron ne giraa diyaa to pata chalaa koi saamne se haTaa nahin ki ghubaar thaa"
Ghulam Murtaza RahiGhulam Murtaza Rahi