SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byArshad Kamal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

kuchh to mil jaae kahin dida-e-pur-nam ke sivaa

aankh se Tapke vahi girya-e-maatam ke sivaa

gulshan-e-zist mein mausam kaa badalnaa kyaa hai

kaash ruk jaae koi dard ke mausam ke sivaa

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

kabhi jo us ki tamannaa zaraa biphar jaae

nasha phir us ki anaa kaa utar utar jaae

charaagh-e-shab mein to jalne kaa hausla hi nahin

vo chaahtaa hai ki tohmat havaa ke sar jaae

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

kabhi angDaai le kar jab samundar jaag uThtaa hai

mire andar puraanaa ik shanaavar jaag uThtaa hai

nasheman-gir hain taair bhalaa samjhein to kyaa samjhein

vo kaifiyat ki jab shaahin kaa shahpar jaag uThtaa hai

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

dard ki saakit nadi phir se ravaan hone ko hai

mauj-e-hairat kaa tamaashaa ab kahaan hone ko hai

jo giraan-baar-e-samaaat thaa kabhi sab ke liye

ab vahi kalima yahaan husn-e-bayaan hone ko hai

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

ai dil tire tufail jo mujh par sitam hue

puchhe jo mujh se koi to kah duun ki kam hue

mere charaagh-e-zehn ko vo gul na kar sake

haalaanki sab andhere mire dil mein zam hue

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

zamaana kuchh bhi kahe teri aarzu kar luun

shab-e-siyaah mein suraj ki justuju kar luun

mire khudaa mujhe taufiq sar-kashi diide

khizaan hai saamne kuchh zikr-e-rang-o-bu kar luun

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

kiyaa hai main ne aisaa kyaa ki aisaa ho gayaa hai

miraa dil mere pahlu mein paraayaa ho gayaa hai

vo aae to lagaa gham kaa mudaavaa ho gayaa hai

magar ye kyaa ki gham kuchh aur gahraa ho gayaa hai

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

mujhe vo khel-tamaashaa dikhaai detaa hai

kahin bhi koi jo hanstaa dikhaai detaa hai

kabhi chahakti thiin sadiyaan yahaan magar ab to

ik ek lamha sisaktaa dikhaai detaa hai

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

ik lafz aa gayaa thaa jo meri zabaan par

chhaayaa rahaa na jaane vo kis kis ke dhyaan par

mujh ko talaash karte ho auron ke darmiyaan

hairaan ho rahaa huun tumhaare gumaan par

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

har ek lamha-e-gham bahr-e-be-karaan ki tarah

kisi kaa dhyaan hai aise mein baadbaan ki tarah

nasim-e-subh ye kahti hai kitni hasrat se

koi to baagh mein mil jaae baaghbaan ki tarah

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

talaatum hai na jaan-levaa bhanvar hai

ki bahr-e-maslahat ab mustaqar hai

dar-e-sayyaad par barpaa hai maatam

qafas mein jab se zikr-e-baal-o-par hai

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

fikr soi hai sar-e-shaam jagaa di jaae

ek bujhti si angiThi ko havaa di jaae

kisi jangal mein agar ho to bujhaa di jaae

kaise tan-man mein lagi aag dabaa di jaae

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

sach ki khaatir sab kuchh khoyaa kaun likhegaa

meraa ye be-kaif saa qissa kaun likhegaa

yuun to har kaandhe par ik chehra hai lekin

kis ke paas hai apnaa chehra kaun likhegaa

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

samundar se kisi lamhe bhi tughyaani nahin jaati

magar saahil ko gham hai khushk-daamaani nahin jaati

ghanimat hai miri aankhon ki ye sayyaal aatish bhi

isi se mere zehn-o-dil ki taabaani nahin jaati

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

garche zaahir mein hain ahvaal munavvar saare

raqs karte hain andhere mire andar saare

mauja-e-dard banaa degaa unhein misl-e-sabaa

vo jo phirte hain yahaan surat-e-sarsar saare

· · ·

GhazalArshad Kamal

Arshad Kamal

ham ziist ki maujon se kinaaraa nahin karte

saahil se samundar kaa nazaara nahin karte

har shoaba-e-hasti hai talab-gaar-e-tavaazun

resham se kabhi TaaT sanvaaraa nahin karte

· · ·